koi maal-e-mohabbat mujhe batao nahin | कोई मआल-ए-मोहब्बत मुझे बताओ नहीं

  - Akhtar Ansari

koi maal-e-mohabbat mujhe batao nahin
main khwaab dekh raha hoon mujhe jagao nahin

kisi ki yaad hai un ki mahak se waabasta
mujhe ye phool khuda ke liye sunghao nahin

mohabbat aur jawaani ke tazkire na karo
kisi sataaye hue ko bahut satao nahin

ye kah raha hai mohabbat ki kaavishon se dil
ye mere hansne ke din hain mujhe rulao nahin

ujad ke phir nahin basta jahaan-e-dil akhtar
bahaar-e-baagh ko is par daleel laao nahin

कोई मआल-ए-मोहब्बत मुझे बताओ नहीं
मैं ख़्वाब देख रहा हूँ मुझे जगाओ नहीं

किसी की याद है उन की महक से वाबस्ता
मुझे ये फूल ख़ुदा के लिए सुँघाओ नहीं

मोहब्बत और जवानी के तज़्किरे न करो
किसी सताए हुए को बहुत सताओ नहीं

ये कह रहा है मोहब्बत की काविशों से दिल
ये मेरे हँसने के दिन हैं मुझे रुलाओ नहीं

उजड़ के फिर नहीं बस्ता जहान-ए-दिल 'अख़्तर'
बहार-ए-बाग़ को इस पर दलील लाओ नहीं

  - Akhtar Ansari

Nature Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Ansari

As you were reading Shayari by Akhtar Ansari

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Ansari

Similar Moods

As you were reading Nature Shayari Shayari