sada kuchh aisi mere gosh-e-dil mein aati hai | सदा कुछ ऐसी मिरे गोश-ए-दिल में आती है - Akhtar Ansari

sada kuchh aisi mere gosh-e-dil mein aati hai
koi binaa-e-kuhan jaise ladhkadhatee hai

racha hua hai fazaaon mein ek athaah hiraas
dimaagh shal hai magar rooh sansanaatee hai

mujhe yaqeen hai aandhi koi uthi hai kahi
ki lau charaagh-e-shabistaan ki thartharati hai

umeed yaas ke gehre khamosh jungle mein
hawaa-e-shaam ki maanind sarsarati hai

sawaal hai gham-e-hasti ke beet jaane ka
ye zindagi to bahr-haal beet jaati hai

khayaal-e-umr-e-guzishta zara tavakkuf kar
zameen qadmon ke neeche se nikli jaati hai

main apni aag mein jal kar kabhi ka khaak hua
ye zindagi mujhe kya khaak mein milaati hai

nishaana-baaz falak tere naavakon ki khair
ki jin ki zad pe mere hauslon ki chaati hai

lachak hi jaati hai shaakh apne aashiyaan ki bhi
chaman mein gaati hui jab bahaar aati hai

fughaan-e-dard labon par na aaiyo zinhaar
meri saleeqa-shi'aari pe baat aati hai

idhar ye giriya-e-abr aur udhar vo khanda-e-bark
mizaaj-e-dehr mere dost tanziyaati hai

raheen-e-rasm-o-rivaayat ho jis ki but-shikni
vo but-shikan bhi haqeeqat mein somnaati hai

bapaa hai shor-e-qayaamat dimaagh mein akhtar
zubaan-e-khaama magar zamzame lutaati hai

सदा कुछ ऐसी मिरे गोश-ए-दिल में आती है
कोई बिना-ए-कुहन जैसे लड़खड़ाती है

रचा हुआ है फ़ज़ाओं में एक अथाह हिरास
दिमाग़ शल है मगर रूह सनसनाती है

मुझे यक़ीन है आँधी कोई उठी है कहीं
कि लौ चराग़-ए-शबिस्ताँ की थरथराती है

उमीद यास के गहरे ख़मोश जंगल में
हवा-ए-शाम की मानिंद सरसराती है

सवाल है ग़म-ए-हस्ती के बीत जाने का
ये ज़िंदगी तो बहर-हाल बीत जाती है

ख़याल-ए-उम्र-ए-गुज़िश्ता ज़रा तवक़्क़ुफ़ कर
ज़मीन क़दमों के नीचे से निकली जाती है

मैं अपनी आग में जल कर कभी का ख़ाक हुआ
ये ज़िंदगी मुझे क्या ख़ाक में मिलाती है

निशाना-बाज़ फ़लक तेरे नावकों की ख़ैर
कि जिन की ज़द पे मिरे हौसलों की छाती है

लचक ही जाती है शाख़ अपने आशियाँ की भी
चमन में गाती हुई जब बहार आती है

फ़ुग़ान-ए-दर्द लबों पर न आइयो ज़िन्हार
मिरी सलीक़ा-शिआ'री पे बात आती है

इधर ये गिरिया-ए-अब्र और उधर वो ख़ंदा-ए-बर्क़
मिज़ाज-ए-दहर मिरे दोस्त तंज़ियाती है

रहीन-ए-रस्म-ओ-रिवायत हो जिस की बुत-शिकनी
वो बुत-शिकन भी हक़ीक़त में सोमनाती है

बपा है शोर-ए-क़यामत दिमाग़ में 'अख़्तर'
ज़बान-ए-ख़ामा मगर ज़मज़मे लुटाती है

- Akhtar Ansari
0 Likes

Paani Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Ansari

As you were reading Shayari by Akhtar Ansari

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Ansari

Similar Moods

As you were reading Paani Shayari Shayari