tira aasmaan naavakon ka khazeena hayaat-aafreena hayaat-aafreena | तिरा आसमाँ नावकों का ख़ज़ीना हयात-आफ़रीना हयात-आफ़रीना

  - Akhtar Ansari

tira aasmaan naavakon ka khazeena hayaat-aafreena hayaat-aafreena
hamaari zameen laal-o-gul ka dafeena hayaat-aafreena hayaat-aafreena

hue naam aur nang sab gharq-e-sehba meri may-gusaari ki hogi saza kya
tire naam ka ek jura yahi na hayaat-aafreena hayaat-aafreena

tire waada-e-rizq ki hai duhaai agar rizq aazooqa-e-rooh bhi hai
to ham to hain mahroom-e-naan-e-shabeena hayaat-aafreena hayaat-aafreena

na saanson mein josh-e-numoo ka talaatum na marne ke gham mein gudaaz-e-taallum
ye jeena bhi hai koi jeene mein jeena hayaat-aafreena hayaat-aafreena

zameen ka kaleja bahut funk raha hai falak phat pade qulzum-e-khoon ravaan ho
jabeen-e-mashiyyat se tapke paseena hayaat-aafreena hayaat-aafreena

mah-o-mehr-o-anjum falak ke dulaare tiri mumlikat ke haseen shahzaade
hamaari zameen kaayenaati haseena hayaat-aafreena hayaat-aafreena

nahin akhtar'-e-zaar mayus khud se ki zulmat bhi chhatti hai darja-b-darja
utarti hai rahmat bhi zeena-b-zeena hayaat-aafreena hayaat-aafreena

तिरा आसमाँ नावकों का ख़ज़ीना हयात-आफ़रीना हयात-आफ़रीना
हमारी ज़मीं ला'ल-ओ-गुल का दफ़ीना हयात-आफ़रीना हयात-आफ़रीना

हुए नाम और नंग सब ग़र्क़-ए-सहबा मिरी मय-गुसारी की होगी सज़ा क्या
तिरे नाम का एक जुरआ' यही ना हयात-आफ़रीना हयात-आफ़रीना

तिरे वादा-ए-रिज़्क की है दुहाई अगर रिज़्क़ आज़ूक़ा-ए-रूह भी है
तो हम तो हैं महरूम-ए-नान-ए-शबीना हयात-आफ़रीना हयात-आफ़रीना

न साँसों में जोश-ए-नुमू का तलातुम न मरने के ग़म में गुदाज़-ए-तअल्लुम
ये जीना भी है कोई जीने में जीना हयात-आफ़रीना हयात-आफ़रीना

ज़मीं का कलेजा बहुत फुंक रहा है फ़लक फट पड़े क़ुल्ज़ुम-ए-ख़ूँ रवाँ हो
जबीन-ए-मशिय्यत से टपके पसीना हयात-आफ़रीना हयात-आफ़रीना

मह-ओ-मेहर-ओ-अंजुम फ़लक के दुलारे तिरी मुम्लिकत के हसीं शाहज़ादे
हमारी ज़मीं काएनाती हसीना हयात-आफ़रीना हयात-आफ़रीना

नहीं 'अख़्तर'-ए-ज़ार मायूस ख़ुद से कि ज़ुल्मत भी छटती है दर्जा-ब-दर्जा
उतरती है रहमत भी ज़ीना-ब-ज़ीना हयात-आफ़रीना हयात-आफ़रीना

  - Akhtar Ansari

Aasman Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Ansari

As you were reading Shayari by Akhtar Ansari

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Ansari

Similar Moods

As you were reading Aasman Shayari Shayari