gham-e-hayaat kahaani hai qissa-khwaan hoon main | ग़म-ए-हयात कहानी है क़िस्सा-ख़्वाँ हूँ मैं

  - Akhtar Ansari

gham-e-hayaat kahaani hai qissa-khwaan hoon main
dil-e-sitm-zada hai raaz-daan hoon main

ziyaada is se koi aaj tak bata na saka
ki ek nuqta-e-na-qaabil-e-bayaan hoon main

nazar ke saamne kaundi thi ek bijli si
mujhe batao khuda-ra ki ab kahaan hoon main

khizaan ne loot liya gulshan-e-shabaab magar
kisi bahaar ke armaan mein jawaan hoon main

ye kah rahi hai nazar ki gham-e-aafreen jumbish
kisi ke dil ki tabaahi ki dastaan hoon main

khizaan kahti thi main shokhi-e-bahaaraan hoon
bahaar kahti hai rangeeni-e-khizan hoon main

shabaab naam hai us jaan-nawaaz lamhe ka
jab aadmi ko ye mehsoos ho jawaan hoon main

jahaan-e-dard-o-alam poojta hai mujh ko aah
tapish-e-jabeen hai lahu sajda aastaan hoon main

vo din bhi the ki main jaan-e-shabaab tha akhtar
ab apne ahad-e-jawaani ki dastaan hoon main

ग़म-ए-हयात कहानी है क़िस्सा-ख़्वाँ हूँ मैं
दिल-ए-सितम-ज़दा है राज़-दाँ हूँ मैं

ज़ियादा इस से कोई आज तक बता न सका
कि एक नुक्ता-ए-ना-क़ाबिल-ए-बयाँ हूँ मैं

नज़र के सामने कौंदी थी एक बिजली सी
मुझे बताओ ख़ुदा-रा कि अब कहाँ हूँ मैं

ख़िज़ाँ ने लूट लिया गुलशन-ए-शबाब मगर
किसी बहार के अरमान में जवाँ हूँ मैं

ये कह रही है नज़र की ग़म-ए-आफ़रीं जुम्बिश
किसी के दिल की तबाही की दास्ताँ हूँ मैं

ख़िज़ाँ कहती थी मैं शोख़ी-ए-बहाराँ हूँ
बहार कहती है रंगीनी-ए-ख़िज़ाँ हूँ मैं

शबाब नाम है उस जाँ-नवाज़ लम्हे का
जब आदमी को ये महसूस हो जवाँ हूँ मैं

जहान-ए-दर्द-ओ-अलम पूजता है मुझ को आह
तपिश-ए-जबीं है लहू सज्दा आस्ताँ हूँ मैं

वो दिन भी थे कि मैं जान-ए-शबाब था 'अख़्तर'
अब अपने अहद-ए-जवानी की दास्ताँ हूँ मैं

  - Akhtar Ansari

Nigaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Ansari

As you were reading Shayari by Akhtar Ansari

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Ansari

Similar Moods

As you were reading Nigaah Shayari Shayari