bahaar-e-fikr ke jalwe luta diye hum ne | बहार-ए-फ़िक्र के जल्वे लुटा दिए हम ने - Akhtar Ansari

bahaar-e-fikr ke jalwe luta diye hum ne
junoon-e-ishq ke dariya baha diye hum ne

farogh-e-danish-o-burhan ke shole bharka kar
tavahhumaat ke khirman jala diye hum ne

gira ke dark-o-baseerat ki bijliyaan paiham
ta'assubaat ke tukde uda liye hum ne

bana ke fikr-o-tadabbur ko khaadim-e-insaan
muqaddaraat ke chakke chhuda diye hum ne

shu'ur-e-naqd ki sehat-pasandiyon ki qasam
aqeedaton ke parkhche uda diye hum ne

mita ke tafaqqa-e-khaas-o-aam ki la'nat
huqooq-e-khaas thikaane laga diye hum ne

fataadgaan-e-zameen ka buland kar ke alam
falak-nasheenon ke parcham jhuka diye hum ne

naye shu'ur se zehnon mein bijliyaan bhar deen
nayi umangon se dil jagmaga diye hum ne

gumaan hayaat pe hota hai geet ki lay ka
kuch aise geet jahaan ko suna diye hum ne

tilism tod ke jhooti haqeeqaton ke tamaam
ajaibaat ke jaadu jaga diye hum ne

wara-e-charkh the aabaad jis qadar firdaus
zameen ki sath pe la kar basa diye hum ne

bana ke mehnat-e-insaan ko ek qadr-e-buland
zameen pe chaand sitaare bichha diye hum ne

jala ke azmat-e-aadam ki sham-e-deerina
charaagh dair-o-haram ke bujha diye hum ne

jo dark rakhte hain akhtar vo samjhen aur bataayein
ye kis sharaab ke saaghar lundha diye hum ne

बहार-ए-फ़िक्र के जल्वे लुटा दिए हम ने
जुनून-ए-इश्क़ के दरिया बहा दिए हम ने

फ़रोग़-ए-दानिश-ओ-बुरहाँ के शोले भड़का कर
तवहहुमात के ख़िर्मन जला दिए हम ने

गिरा के दर्क-ओ-बसीरत की बिजलियाँ पैहम
तअ'स्सुबात के टुकड़े उड़ा लिए हम ने

बना के फ़िक्र-ओ-तदब्बुर को ख़ादिम-ए-इंसाँ
मुक़द्दरात के छक्के छुड़ा दिए हम ने

शुऊ'र-ए-नक़्द की सेहत-पसंदियों की क़सम
अक़ीदतों के परख़चे उड़ा दिए हम ने

मिटा के तफ़रक़ा-ए-ख़ास-ओ-आम की ला'नत
हुक़ूक़-ए-ख़ास ठिकाने लगा दिए हम ने

फ़तादगान-ए-ज़मीं का बुलंद कर के अलम
फ़लक-नशीनों के परचम झुका दिए हम ने

नए शुऊ'र से ज़ेहनों में बिजलियाँ भर दीं
नई उमंगों से दिल जगमगा दिए हम ने

गुमाँ हयात पे होता है गीत की लय का
कुछ ऐसे गीत जहाँ को सुना दिए हम ने

तिलिस्म तोड़ के झूटी हक़ीक़तों के तमाम
अजाइबात के जादू जगा दिए हम ने

वरा-ए-चर्ख़ थे आबाद जिस क़दर फ़िरदौस
ज़मीं की सत्ह पे ला कर बसा दिए हम ने

बना के मेहनत-ए-इंसाँ को एक क़द्र-ए-बुलंद
ज़मीं पे चाँद सितारे बिछा दिए हम ने

जला के अज़्मत-ए-आदम की शम-ए-देरीना
चराग़ दैर-ओ-हरम के बुझा दिए हम ने

जो दर्क रखते हैं अख़्तर वो समझें और बताएँ
ये किस शराब के साग़र लुंढा दिए हम ने

- Akhtar Ansari
0 Likes

Maikashi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Ansari

As you were reading Shayari by Akhtar Ansari

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Ansari

Similar Moods

As you were reading Maikashi Shayari Shayari