apne qadmon hi ki awaaz se chauka hota
yun mere paas se ho kar koi guzra hota
chaandni se bhi sulag uthata hai veeraana-e-jaan
ye agar jaante suraj hi ko chaaha hota
zindagi khwaab-e-pareshaan hai bahaar ek khayal
in ko milne se bahut pehle ye socha hota
dopahar guzri magar dhoop ka aalam hai wahi
koi saaya kisi deewaar se utara hota
ret ud ud ke hawaon mein chali aati hai
shehr-e-armaan sar-e-sehra na basaaya hota
aarzoo umr-e-gurezaan to nahin tum to nahin
ye sarkata hua lamha kahi thehra hota
peeche peeche koi saaya sa chala aata tha
haaye vo kaun tha mud kar use dekha hota
tujh se yak go na ta'alluq mujhe ik umr se tha
zindagi tu ne hi badh kar mujhe roka hota
jaane kya soch ke logon ne bujaaye hain charaagh
raat kattee to sehar hoti ujaala hota
apne daaman ko jala kar main charaaghaan karta
agar is raakh mein akhtar koi shola hota
अपने क़दमों ही की आवाज़ से चौंका होता
यूँ मिरे पास से हो कर कोई गुज़रा होता
चाँदनी से भी सुलग उठता है वीराना-ए-जाँ
ये अगर जानते सूरज ही को चाहा होता
ज़िंदगी ख़्वाब-ए-परेशाँ है बहार एक ख़याल
इन को मिलने से बहुत पहले ये सोचा होता
दोपहर गुज़री मगर धूप का आलम है वही
कोई साया किसी दीवार से उतरा होता
रेत उड़ उड़ के हवाओं में चली आती है
शहर-ए-अरमाँ सर-ए-सहरा न बसाया होता
आरज़ू उम्र-ए-गुरेज़ाँ तो नहीं तुम तो नहीं
ये सरकता हुआ लम्हा कहीं ठहरा होता
पीछे पीछे कोई साया सा चला आता था
हाए वो कौन था मुड़ कर उसे देखा होता
तुझ से यक गो न तअ'ल्लुक़ मुझे इक उम्र से था
ज़िंदगी तू ने ही बढ़ कर मुझे रोका होता
जाने क्या सोच के लोगों ने बुझाए हैं चराग़
रात कटती तो सहर होती उजाला होता
अपने दामन को जला कर मैं चराग़ाँ करता
अगर इस राख में 'अख़्तर' कोई शो'ला होता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Hoshiyarpuri
our suggestion based on Akhtar Hoshiyarpuri
As you were reading Tasawwur Shayari Shayari