kuchh naqsh huwaida hain khayaalon ki dagar se | कुछ नक़्श हुवैदा हैं ख़यालों की डगर से

  - Akhtar Hoshiyarpuri

kuchh naqsh huwaida hain khayaalon ki dagar se
shaayad kabhi guzra hoon main is raah-guzar se

galiyaan bhi hain sunsaan dariche bhi hain khaamosh
qadmon ki ye awaaz dar aayi hai kidhar se

taqon mein charaagon ka dhuaan jam sa gaya hai
ab ham bhi nikalte nahin ujde hue ghar se

kyun kaaghazi phoolon se sajaata nahin ghar ko
is daur ko shikwa hai mere zauq-e-hunar se

saaye ki tarah koi ta'aqub mein ravaan hai
ab bach ke kahaan jaayenge ik sho'bda-gar se

akhtar ye ghane abr bade tang-nazar hain
utthe hain jo dariya se to dariya pe hi barase

कुछ नक़्श हुवैदा हैं ख़यालों की डगर से
शायद कभी गुज़रा हूँ मैं इस राह-गुज़र से

गलियाँ भी हैं सुनसान दरीचे भी हैं ख़ामोश
क़दमों की ये आवाज़ दर आई है किधर से

ताक़ों में चराग़ों का धुआँ जम सा गया है
अब हम भी निकलते नहीं उजड़े हुए घर से

क्यूँ काग़ज़ी फूलों से सजाता नहीं घर को
इस दौर को शिकवा है मिरे ज़ौक़-ए-हुनर से

साए की तरह कोई तआ'क़ुब में रवाँ है
अब बच के कहाँ जाएँगे इक शो'बदा-गर से

'अख़्तर' ये घने अब्र बड़े तंग-नज़र हैं
उठ्ठे हैं जो दरिया से तो दरिया पे ही बरसे

  - Akhtar Hoshiyarpuri

Raasta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Hoshiyarpuri

As you were reading Shayari by Akhtar Hoshiyarpuri

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Hoshiyarpuri

Similar Moods

As you were reading Raasta Shayari Shayari