thi titliyon ke ta'aqub mein zindagi meri | थी तितलियों के तआ'क़ुब में ज़िंदगी मेरी

  - Akhtar Hoshiyarpuri

thi titliyon ke ta'aqub mein zindagi meri
vo shehar kya hua jis ki thi har gali meri

main apni zaat ki tashreeh karta firta tha
na jaane phir kahaan awaaz kho gai meri

ye sarguzisht-e-zamaana ye daastaan-e-hayaat
adhuri baat mein bhi rah gai kami meri

hawaa-e-koh-e-nidaa ik zara thehar ki abhi
zamaana ghaur se sunta hai an-kahi meri

main itne zor se cheekha chatkh gaya hai badan
phir is ke ba'ad kisi ne nahin sooni meri

ye darmiyaan ka khala hi mera nahin warna
ye aasmaan bhi mera zameen bhi meri

kise khabar ki guhar kaise haath aate hain
samundron se bhi gahri hai khaamoshi meri

koi to aaye mere paas do ghadi baithe
ki kar gai mujhe tanhaa khud-aagahi meri

kabhi kabhi to zamaana raha nigaahon mein
kabhi kabhi nazar aayi na shakl bhi meri

mujhe khabar hai kahaan hoon main kaun hoon akhtar
ki mere naam se soorat giri hui meri

थी तितलियों के तआ'क़ुब में ज़िंदगी मेरी
वो शहर क्या हुआ जिस की थी हर गली मेरी

मैं अपनी ज़ात की तशरीह करता फिरता था
न जाने फिर कहाँ आवाज़ खो गई मेरी

ये सरगुज़िश्त-ए-ज़माना ये दास्तान-ए-हयात
अधूरी बात में भी रह गई कमी मेरी

हवा-ए-कोह-ए-निदा इक ज़रा ठहर कि अभी
ज़माना ग़ौर से सुनता है अन-कही मेरी

मैं इतने ज़ोर से चीख़ा चटख़ गया है बदन
फिर इस के बा'द किसी ने नहीं सुनी मेरी

ये दरमियाँ का ख़ला ही मिरा नहीं वर्ना
ये आसमान भी मेरा ज़मीन भी मेरी

किसे ख़बर कि गुहर कैसे हाथ आते हैं
समुंदरों से भी गहरी है ख़ामुशी मेरी

कोई तो आए मिरे पास दो घड़ी बैठे
कि कर गई मुझे तन्हा ख़ुद-आगही मेरी

कभी कभी तो ज़माना रहा निगाहों में
कभी कभी नज़र आई न शक्ल भी मेरी

मुझे ख़बर है कहाँ हूँ मैं कौन हूँ 'अख़्तर'
कि मेरे नाम से सूरत गिरी हुई मेरी

  - Akhtar Hoshiyarpuri

Kamar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Hoshiyarpuri

As you were reading Shayari by Akhtar Hoshiyarpuri

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Hoshiyarpuri

Similar Moods

As you were reading Kamar Shayari Shayari