baarha thithka hoon khud bhi apna saaya dekh kar
log bhi kataraaye kya kya mujh ko tanhaa dekh kar
mujh ko is ka gham nahin sailaab mein ghar bah gaye
muskuraya hoon main be-mausam ki barkha dekh kar
ret ki deewaar mein shaamil hai khoon-e-zeest bhi
ai hawao soch kar ai mauj-e-dariya dekh kar
apne haathon apni aankhen band karne pad gaeein
nigahat-e-gul ke jilau mein gard-e-sehra dekh kar
mere chehre par kharaashein hain lakeeren haath ki
meri qismat padhne waale mera chehra dekh kar
बारहा ठिठका हूँ ख़ुद भी अपना साया देख कर
लोग भी कतराए क्या क्या मुझ को तन्हा देख कर
मुझ को इस का ग़म नहीं सैलाब में घर बह गए
मुस्कुराया हूँ मैं बे-मौसम की बरखा देख कर
रेत की दीवार में शामिल है ख़ून-ए-ज़ीस्त भी
ऐ हवाओ सोच कर ऐ मौज-ए-दरिया देख कर
अपने हाथों अपनी आँखें बंद करनी पड़ गईं
निगहत-ए-गुल के जिलौ में गर्द-ए-सहरा देख कर
मेरे चेहरे पर ख़राशें हैं लकीरें हाथ की
मेरी क़िस्मत पढ़ने वाले मेरा चेहरा देख कर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Hoshiyarpuri
our suggestion based on Akhtar Hoshiyarpuri
As you were reading DP Shayari Shayari