main harf dekhoon ki raushni ka nisaab dekhoon | मैं हर्फ़ देखूँ कि रौशनी का निसाब देखूँ - Akhtar Hoshiyarpuri

main harf dekhoon ki raushni ka nisaab dekhoon
magar ye aalam ki tehniyon par gulaab dekhoon

purane khwaabon se reza reza badan hua hai
ye chahta hoon ki ab naya koi khwaab dekhoon

ye raaste to meri hatheli ke tarjumaan hain
main in lakeeron mein zindagi ki kitaab dekhoon

muraajat ka safar to mumkin nahin raha hai
main chalta jaaun ki mausamon ka azaab dekhoon

main apni tasveer dekh kar mutmain kahaan hoon
vo din bhi aaye lahu ko jab kaamyaab dekhoon

मैं हर्फ़ देखूँ कि रौशनी का निसाब देखूँ
मगर ये आलम कि टहनियों पर गुलाब देखूँ

पुराने ख़्वाबों से रेज़ा रेज़ा बदन हुआ है
ये चाहता हूँ कि अब नया कोई ख़्वाब देखूँ

ये रास्ते तो मिरी हथेली के तर्जुमाँ हैं
मैं इन लकीरों में ज़िंदगी की किताब देखूँ

मुराजअ'त का सफ़र तो मुमकिन नहीं रहा है
मैं चलता जाऊँ कि मौसमों का अज़ाब देखूँ

मैं अपनी तस्वीर देख कर मुतमइन कहाँ हूँ
वो दिन भी आए लहू को जब कामयाब देखूँ

- Akhtar Hoshiyarpuri
0 Likes

Zindagi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Hoshiyarpuri

As you were reading Shayari by Akhtar Hoshiyarpuri

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Hoshiyarpuri

Similar Moods

As you were reading Zindagi Shayari Shayari