manzilon ke faasle deewar-o-dar mein rah gaye | मंज़िलों के फ़ासले दीवार-ओ-दर में रह गए - Akhtar Hoshiyarpuri

manzilon ke faasle deewar-o-dar mein rah gaye
kya safar tha mere saare khwaab ghar mein rah gaye

ab koi tasveer bhi apni jagah qaaim nahin
ab hawa ke rang hi meri nazar mein rah gaye

jitne manzar the mere ham-raah ghar tak aaye hain
aur pas-e-manzar sawaad-e-rah-guzar mein rah gaye

apne qadmon ke nishaan bhi band kamron mein rahe
taqchon par bhi diye khaali nagar mein rah gaye

kar gai hai naam se ghaafil humein apni shanaakht
sirf aawazon ke saaye hi khabar mein rah gaye

na-khudaon ne palat kar jaane kyun dekha nahin
kashtiyon ke to kai takhte bhanwar mein rah gaye

kaisi kaisi aahaten alfaaz ka paikar bani
kaise kaise aks meri chashm-e-tar mein rah gaye

haath ki saari lakeeren paanv ke talvon mein theen
aur mere hum-safar gard-e-safar mein rah gaye

kya hujoom-e-rang akhtar kya farogh-e-boo-e-gul
mausamon ke zaa'iqe boodhe shajar mein rah gaye

मंज़िलों के फ़ासले दीवार-ओ-दर में रह गए
क्या सफ़र था मेरे सारे ख़्वाब घर में रह गए

अब कोई तस्वीर भी अपनी जगह क़ाएम नहीं
अब हवा के रंग ही मेरी नज़र में रह गए

जितने मंज़र थे मिरे हम-राह घर तक आए हैं
और पस-ए-मंज़र सवाद-ए-रह-गुज़र में रह गए

अपने क़दमों के निशाँ भी बंद कमरों में रहे
ताक़चों पर भी दिए ख़ाली नगर में रह गए

कर गई है नाम से ग़ाफ़िल हमें अपनी शनाख़्त
सिर्फ़ आवाज़ों के साए ही ख़बर में रह गए

ना-ख़ुदाओं ने पलट कर जाने क्यूँ देखा नहीं
कश्तियों के तो कई तख़्ते भँवर में रह गए

कैसी कैसी आहटें अल्फ़ाज़ का पैकर बनीं
कैसे कैसे अक्स मेरी चश्म-ए-तर में रह गए

हाथ की सारी लकीरें पाँव के तलवों में थीं
और मेरे हम-सफ़र गर्द-ए-सफ़र में रह गए

क्या हुजूम-ए-रंग 'अख़्तर' क्या फ़रोग-ए-बू-ए-गुल
मौसमों के ज़ाइक़े बूढ़े शजर में रह गए

- Akhtar Hoshiyarpuri
0 Likes

Nazar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Hoshiyarpuri

As you were reading Shayari by Akhtar Hoshiyarpuri

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Hoshiyarpuri

Similar Moods

As you were reading Nazar Shayari Shayari