baja ki dushman-e-jaan shahr-e-jaan ke baahar hai | बजा कि दुश्मन-ए-जाँ शहर-ए-जाँ के बाहर है - Akhtar Hoshiyarpuri

baja ki dushman-e-jaan shahr-e-jaan ke baahar hai
magar main us ko kahoon kya jo ghar ke andar hai

tamaam naqsh parindon ki tarah utre hain
ki kaaghazon pe khile paaniyon ka manzar hai

main ek shakhs jo kumbon mein rah gaya bat kar
main musht-e-khaak jo taqseem ho ke be-ghar hai

shajar kata to koi ghonsla kahi na raha
magar ik udta parinda fazaa ka zewar hai

vo khauf hai ki makeen apne apne kamron mein hain
vo haal hai ki biyaabaan mein wus'at-e-dar hai

kahi bhi ped nahin phir bhi patthar aaye hain
gali mein koi nahin phir bhi shor-e-mahshar hai

main is wasi'a jazeera mein waahid insaan hoon
ki mere chaaron taraf dasht ka samundar hai

koi bhi khwaab na unchi faseel se utara
magar kiran ke guzarne ko rauzan-e-dar hai

tamaam roshaniyaan bujh gai hain basti mein
magar vo deep ki jis ka hawaon mein ghar hai

kisi se mujh ko gila kya ki kuch kahoon akhtar
ki meri zaat hi khud raaste ka patthar hai

बजा कि दुश्मन-ए-जाँ शहर-ए-जाँ के बाहर है
मगर मैं उस को कहूँ क्या जो घर के अंदर है

तमाम नक़्श परिंदों की तरह उतरे हैं
कि काग़ज़ों पे खिले पानियों का मंज़र है

मैं एक शख़्स जो कुम्बों में रह गया बट कर
मैं मुश्त-ए-ख़ाक जो तक़्सीम हो के बे-घर है

शजर कटा तो कोई घोंसला कहीं न रहा
मगर इक उड़ता परिंदा फ़ज़ा का ज़ेवर है

वो ख़ौफ़ है कि मकीं अपने अपने कमरों में हैं
वो हाल है कि बयाबाँ में वुस'अत-ए-दर है

कहीं भी पेड़ नहीं फिर भी पत्थर आए हैं
गली में कोई नहीं फिर भी शोर-ए-महशर है

मैं इस वसीअ जज़ीरे में वाहिद इंसाँ हूँ
कि मेरे चारों तरफ़ दश्त का समुंदर है

कोई भी ख़्वाब न ऊँची फ़सील से उतरा
मगर किरन के गुज़रने को रौज़न-ए-दर है

तमाम रौशनियाँ बुझ गई हैं बस्ती में
मगर वो दीप कि जिस का हवाओं में घर है

किसी से मुझ को गिला क्या कि कुछ कहूँ 'अख़्तर'
कि मेरी ज़ात ही ख़ुद रास्ते का पत्थर है

- Akhtar Hoshiyarpuri
0 Likes

Parinda Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Hoshiyarpuri

As you were reading Shayari by Akhtar Hoshiyarpuri

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Hoshiyarpuri

Similar Moods

As you were reading Parinda Shayari Shayari