tha ek saaya sa peeche peeche jo mud ke dekha to kuchh nahin tha | था एक साया सा पीछे पीछे जो मुड़ के देखा तो कुछ नहीं था

  - Akhtar Hoshiyarpuri

tha ek saaya sa peeche peeche jo mud ke dekha to kuchh nahin tha
ab apni soorat ko dekhta hoon kabhi jo sad-pekar-aafreen tha

vo phir bhi jaan se azeez-tar tha tabi'atein go juda juda theen
agarche ham-zaad bhi nahin tha vo mera ham-shakl bhi nahin tha

main ruk sakunga thehar sakunga thakan safar ki mita sakunga
kahi to koi shajar milega tamaam raaste yahi yaqeen tha

kai chataanen gudaaz jismoon mein apni garmi se dhal gai theen
buton ke qisse mein tesha-kaaron ka tazkira bhi kahi kahi tha

na jaane kya dhund darmiyaan thi ki kohkan ki nazar na pahunchee
jahaan se foota tha chashma-e-maah-shab ka patthar bhi to wahin tha

main apni awaaz ke ta'aqub mein maavra-e-nazar bhi pahuncha
magar palat kar na us ne poocha ki main khala ke bahut qareen tha

wahin manaazir lute lute se wahin shikasta makaan akhtar
main roz-marra ke raaste se jo ghar mein pahuncha bahut hazeen tha

था एक साया सा पीछे पीछे जो मुड़ के देखा तो कुछ नहीं था
अब अपनी सूरत को देखता हूँ कभी जो सद-पैकर-आफ़रीं था

वो फिर भी जाँ से अज़ीज़-तर था तबीअ'तें गो जुदा जुदा थीं
अगरचे हम-ज़ाद भी नहीं था वो मेरा हम-शक्ल भी नहीं था

मैं रुक सकूँगा ठहर सकूँगा थकन सफ़र की मिटा सकूँगा
कहीं तो कोई शजर मिलेगा तमाम रस्ते यही यक़ीं था

कई चटानें गुदाज़ जिस्मों में अपनी गर्मी से ढल गई थीं
बुतों के क़िस्से में तेशा-कारों का तज़्किरा भी कहीं कहीं था

न जाने क्या धुँद दरमियाँ थी कि कोहकन की नज़र न पहुँची
जहाँ से फूटा था चश्मा-ए-माह-शब का पत्थर भी तो वहीं था

मैं अपनी आवाज़ के तआक़ुब में मावरा-ए-नज़र भी पहुँचा
मगर पलट कर न उस ने पूछा कि मैं ख़ला के बहुत क़रीं था

वही मनाज़िर लुटे लुटे से वही शिकस्ता मकान 'अख़्तर'
मैं रोज़-मर्रा के रास्ते से जो घर में पहुँचा बहुत हज़ीं था

  - Akhtar Hoshiyarpuri

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Hoshiyarpuri

As you were reading Shayari by Akhtar Hoshiyarpuri

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Hoshiyarpuri

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari