yak-b-yak mausam ki tabdeeli qayamat dhaa gai | यक-ब-यक मौसम की तब्दीली क़यामत ढा गई

  - Akhtar Hoshiyarpuri

yak-b-yak mausam ki tabdeeli qayamat dhaa gai
ruk ke sustaana tha jab mujh ko kaddi dhoop aa gai

din dhale kis ko hai tajdeed-e-safar ka hausla
aati jaati raahguzaar naahak mujhe behka gai

boo-e-gul mauj-e-hawa hai aur hawa kyunkar ruke
ab ke mitti hi ki khushboo mera ghar mahka gai

vo hawaaein hain ude jaate hain pairaahan yahan
ai uroos-e-zeest tu kyun ghar se baahar aa gai

ye hawa aayi kahaan se is se main waqif na tha
mere ghar mein jo charaagon ka dhuaan faila gai

vo ghatta phir is taraf se laut kar guzri nahin
sookhi dharti ko jo dariya ka pata batla gai

zindagi marg-e-talab tark-e-talab akhtar na thi
phir bhi apne taane-baane mein mujhe uljha gai

यक-ब-यक मौसम की तब्दीली क़यामत ढा गई
रुक के सुस्ताना था जब मुझ को कड़ी धूप आ गई

दिन ढले किस को है तज्दीद-ए-सफ़र का हौसला
आती जाती रहगुज़र नाहक़ मुझे बहका गई

बू-ए-गुल मौज-ए-हवा है और हवा क्यूँकर रुके
अब के मिट्टी ही की ख़ुशबू मेरा घर महका गई

वो हवाएँ हैं उड़े जाते हैं पैराहन यहाँ
ऐ उरूस-ए-ज़ीस्त तू क्यूँ घर से बाहर आ गई

ये हवा आई कहाँ से इस से मैं वाक़िफ़ न था
मेरे घर में जो चराग़ों का धुआँ फैला गई

वो घटा फिर इस तरफ़ से लौट कर गुज़री नहीं
सूखी धरती को जो दरिया का पता बतला गई

ज़िंदगी मर्ग-ए-तलब तर्क-ए-तलब 'अख़्तर' न थी
फिर भी अपने ताने-बाने में मुझे उलझा गई

  - Akhtar Hoshiyarpuri

Garmi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Hoshiyarpuri

As you were reading Shayari by Akhtar Hoshiyarpuri

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Hoshiyarpuri

Similar Moods

As you were reading Garmi Shayari Shayari