harf-e-be-aawaaz se dahka hua | हर्फ़-ए-बे-आवाज़ से दहका हुआ

  - Akhtar Hoshiyarpuri

harf-e-be-aawaaz se dahka hua
ik diya hoon taq mein jalta hua

is taraf deewaar ke bhi main hi tha
us taraf bhi main hi tha baitha hua

aangaanon mein phool the mahke hue
khidkiyon mein chaand tha thehra hua

kore kaaghaz par ajab tahreer thi
padhte padhte main jise andha hua

kya kahoon dast-e-hawaa ke shobde
ret par ik naam tha likkha hua

mere khun ki gardishein bhi badh gaeein
us qaba ka rang bhi gahra hua

ungliyon mein us badan ka loch hai
rang-o-khushboo ka safar taaza hua

raat bhar jis ki sada aati rahi
sochta hoon vo parinda kya hua

jaagti aankhon mein akhtar aks kya
main ne dekha qaafila jaata hua

हर्फ़-ए-बे-आवाज़ से दहका हुआ
इक दिया हूँ ताक़ में जलता हुआ

इस तरफ़ दीवार के भी मैं ही था
उस तरफ़ भी मैं ही था बैठा हुआ

आँगनों में फूल थे महके हुए
खिड़कियों में चाँद था ठहरा हुआ

कोरे काग़ज़ पर अजब तहरीर थी
पढ़ते पढ़ते मैं जिसे अंधा हुआ

क्या कहूँ दस्त-ए-हवा के शोबदे
रेत पर इक नाम था लिक्खा हुआ

मेरे ख़ूँ की गर्दिशें भी बढ़ गईं
उस क़बा का रंग भी गहरा हुआ

उँगलियों में उस बदन का लोच है
रंग-ओ-ख़ुशबू का सफ़र ताज़ा हुआ

रात भर जिस की सदा आती रही
सोचता हूँ वो परिंदा क्या हुआ

जागती आँखों में 'अख़्तर' अक्स क्या
मैं ने देखा क़ाफ़िला जाता हुआ

  - Akhtar Hoshiyarpuri

Charagh Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Hoshiyarpuri

As you were reading Shayari by Akhtar Hoshiyarpuri

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Hoshiyarpuri

Similar Moods

As you were reading Charagh Shayari Shayari