ek ham hi to nahin aabla-pa aawaara | एक हम ही तो नहीं आबला-पा आवारा

  - Akhtar Hoshiyarpuri

ek ham hi to nahin aabla-pa aawaara
nigahat-e-gul bhi hui baad-e-saba aawaara

ye kahi umr-e-guzishta to nahin tum to nahin
koi firta hai sar-e-shehr-e-wafa aawaara

kaun manzil ki khabar de kise manzil ki khabar
raah-rau aabla-pa raah-numa aawaara

dil dhadakta hai sar-e-shaam ki guzrega abhi
waadi-e-shab se koi naghma-saraa aawaara

ab koi kis se kahe kaifiyyat-e-zakhm-e-bahaar
sabza begaana hai gul chup hain saba aawaara

एक हम ही तो नहीं आबला-पा आवारा
निगहत-ए-गुल भी हुई बाद-ए-सबा आवारा

ये कहीं उम्र-ए-गुज़िश्ता तो नहीं तुम तो नहीं
कोई फिरता है सर-ए-शहर-ए-वफ़ा आवारा

कौन मंज़िल की ख़बर दे किसे मंज़िल की ख़बर
राह-रौ आबला-पा राह-नुमा आवारा

दिल धड़कता है सर-ए-शाम कि गुज़रेगा अभी
वादी-ए-शब से कोई नग़्मा-सरा आवारा

अब कोई किस से कहे कैफ़िय्यत-ए-ज़ख़्म-ए-बहार
सब्ज़ा बेगाना है गुल चुप हैं सबा आवारा

  - Akhtar Hoshiyarpuri

Mashwara Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Hoshiyarpuri

As you were reading Shayari by Akhtar Hoshiyarpuri

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Hoshiyarpuri

Similar Moods

As you were reading Mashwara Shayari Shayari