chehre ke khadd-o-khaal mein aaine jade hain
ham umr-e-gurezaan ke muqaabil mein khade hain
har saal naya saal hai har saal gaya saal
ham udte hue lamhon ki chaukhat pe pade hain
dekha hai ye parchhaaien ki duniya mein ki akshar
apne qad-o-qamat se bhi kuchh log bade hain
shaayad ki mile zaat ke zindaan se rihaai
deewaar ko chaata hai hawaon se lade hain
udte hain parinde to yahan jheel bhi hogi
tapta hai bayaabaan-e-badan kos karde hain
shaayad koi eesa-nafs aaye unhen pooche
ye lafz jo be-jaan se kaaghaz pe pade hain
is baat ka mafhoom main samjha nahin akhtar
tasveer mein saahil pe kai kacche ghade hain
चेहरे के ख़द्द-ओ-ख़ाल में आईने जड़े हैं
हम उम्र-ए-गुरेज़ाँ के मुक़ाबिल में खड़े हैं
हर साल नया साल है हर साल गया साल
हम उड़ते हुए लम्हों की चौखट पे पड़े हैं
देखा है ये परछाईं की दुनिया में कि अक्सर
अपने क़द-ओ-क़ामत से भी कुछ लोग बड़े हैं
शायद कि मिले ज़ात के ज़िंदाँ से रिहाई
दीवार को चाटा है हवाओं से लड़े हैं
उड़ते हैं परिंदे तो यहाँ झील भी होगी
तपता है बयाबान-ए-बदन कोस कड़े हैं
शायद कोई ईसा-नफ़स आए उन्हें पूछे
ये लफ़्ज़ जो बे-जान से काग़ज़ पे पड़े हैं
इस बात का मफ़्हूम मैं समझा नहीं 'अख़्तर'
तस्वीर में साहिल पे कई कच्चे घड़े हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Hoshiyarpuri
our suggestion based on Akhtar Hoshiyarpuri
As you were reading DP Shayari Shayari