vo ratjaga tha ki afsun-e-khwaab taari tha
diye ki lau pe sitaaron ka raqs jaari tha
main us ko dekhta tha dam-b-khud tha hairaan tha
kise khabar vo kada waqt kitna bhari tha
guzarte waqt ne kya kya na chaara saazi ki
wagarana zakham jo us ne diya tha kaari tha
dayaar-e-jaan mein badi der mein ye baat khuli
mera vujood hi khud nang dost-daari tha
kise bataaun main apni nava ki ramz akhtar
ki harf jo nahin utre main un ka qaari tha
वो रतजगा था कि अफ़्सून-ए-ख़्वाब तारी था
दिए की लौ पे सितारों का रक़्स जारी था
मैं उस को देखता था दम-ब-ख़ुद था हैराँ था
किसे ख़बर वो कड़ा वक़्त कितना भारी था
गुज़रते वक़्त ने क्या क्या न चारा साज़ी की
वगरना ज़ख़्म जो उस ने दिया था कारी था
दयार-ए-जाँ में बड़ी देर में ये बात खुली
मिरा वजूद ही ख़ुद नंग दोस्त-दारी था
किसे बताऊँ मैं अपनी नवा की रम्ज़ 'अख़्तर'
कि हर्फ़ जो नहीं उतरे मैं उन का क़ारी था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Hoshiyarpuri
our suggestion based on Akhtar Hoshiyarpuri
As you were reading Shama Shayari Shayari