pehle to soch ke dozakh mein jalata hai mujhe | पहले तो सोच के दोज़ख़ में जलाता है मुझे

  - Akhtar Hoshiyarpuri

pehle to soch ke dozakh mein jalata hai mujhe
phir vo sheeshe mein mera chehra dikhaata hai mujhe

shaayad apna hi ta'aqub hai mujhe sadiyon se
shaayad apna hi tasavvur liye jaata hai mujhe

baahar aawazon ka ik mela laga hai dekho
koi andar se magar todta jaata hai mujhe

yahi lamha hai ki main gir ke shikasta ho jaaun
soorat-e-sheesha vo haathon mein uthaata hai mujhe

jism minjumla-e-aashob-e-qayaamat thehra
dekhoon kaun aa ke qayamat se bachaata hai mujhe

zalzala aaya to deewaron mein dab jaaunga
log bhi kahte hain ye ghar bhi daraata hai mujhe

kitna zalim hai meri zaat ka paikar akhtar
apni hi saans ki sooli pe chadhata hai mujhe

पहले तो सोच के दोज़ख़ में जलाता है मुझे
फिर वो शीशे में मिरा चेहरा दिखाता है मुझे

शायद अपना ही तआक़ुब है मुझे सदियों से
शायद अपना ही तसव्वुर लिए जाता है मुझे

बाहर आवाज़ों का इक मेला लगा है देखो
कोई अंदर से मगर तोड़ता जाता है मुझे

यही लम्हा है कि मैं गिर के शिकस्ता हो जाऊँ
सूरत-ए-शीशा वो हाथों में उठाता है मुझे

जिस्म मिनजुमला-ए-आशोब-ए-क़यामत ठहरा
देखूँ कौन आ के क़यामत से बचाता है मुझे

ज़लज़ला आया तो दीवारों में दब जाऊँगा
लोग भी कहते हैं ये घर भी डराता है मुझे

कितना ज़ालिम है मिरी ज़ात का पैकर 'अख़्तर'
अपनी ही साँस की सूली पे चढ़ाता है मुझे

  - Akhtar Hoshiyarpuri

Yaad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Hoshiyarpuri

As you were reading Shayari by Akhtar Hoshiyarpuri

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Hoshiyarpuri

Similar Moods

As you were reading Yaad Shayari Shayari