khwaab-mahal mein kaun sar-e-shaam aa kar patthar maarta hai | ख़्वाब-महल में कौन सर-ए-शाम आ कर पत्थर मारता है - Akhtar Hoshiyarpuri

khwaab-mahal mein kaun sar-e-shaam aa kar patthar maarta hai
roz ik taaza kaanch ka bartan haath se gir kar tootaa hai

makdi ne darwaaze pe jaale door talak bun rakhe hain
phir bhi koi guzre dinon ki ot se andar jhaankta hai

shor sa uthata rehta hai deewarein bolti rahti hain
shaam abhi tak aa nahin paati koi khilone todta hai

awwal-e-shab ki lori bhi kab kaam kisi ke aati hai
dil vo bacha apni sada par kacchi neend se jaagta hai

andar baahar ki aawaazen ik nuqte par simti hain
hota hai galiyon mein waawela mera lahu jab bolta hai

meri saanson ki larzish manzar ka hissa banti hai
dekhta hoon main khidki se jab shaakh pe patta kaanpata hai

mere sirhaane koi baitha dhaaras deta rehta hai
nabz pe haath bhi rakhta hai toote dhaage bhi jodta hai

baadal uthe ya ki na uthe baarish bhi ho ya ki na ho
main jab bheegne lagta hoon vo sar par chhatri taantaa hai

waqt guzarne ke ham-raah bahut kuch seekha akhtar ne
nange badan ko kirnon ke pairaahan se ab dhaanpata hai

ख़्वाब-महल में कौन सर-ए-शाम आ कर पत्थर मारता है
रोज़ इक ताज़ा काँच का बर्तन हाथ से गिर कर टूटता है

मकड़ी ने दरवाज़े पे जाले दूर तलक बुन रक्खे हैं
फिर भी कोई गुज़रे दिनों की ओट से अंदर झाँकता है

शोर सा उठता रहता है दीवारें बोलती रहती हैं
शाम अभी तक आ नहीं पाती कोई खिलौने तोड़ता है

अव्वल-ए-शब की लोरी भी कब काम किसी के आती है
दिल वो बचा अपनी सदा पर कच्ची नींद से जागता है

अंदर बाहर की आवाज़ें इक नुक़्ते पर सिमटी हैं
होता है गलियों में वावेला मेरा लहू जब बोलता है

मेरी साँसों की लर्ज़िश मंज़र का हिस्सा बनती है
देखता हूँ मैं खिड़की से जब शाख़ पे पत्ता काँपता है

मेरे सिरहाने कोई बैठा ढारस देता रहता है
नब्ज़ पे हाथ भी रखता है टूटे धागे भी जोड़ता है

बादल उठे या कि न उठे बारिश भी हो या कि न हो
मैं जब भीगने लगता हूँ वो सर पर छतरी तानता है

वक़्त गुज़रने के हम-राह बहुत कुछ सीखा 'अख़्तर' ने
नंगे बदन को किरनों के पैराहन से अब ढाँपता है

- Akhtar Hoshiyarpuri
0 Likes

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Hoshiyarpuri

As you were reading Shayari by Akhtar Hoshiyarpuri

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Hoshiyarpuri

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari