ufuq ufuq naye suraj nikalte rahte hain
diye jalen na jalen daagh jalte rahte hain
meri gali ke makeen ye mere rafeeq-e-safar
ye log vo hain jo chehre badalte rahte hain
zamaane ko to hamesha safar mein rahna hai
jo qafile na chalen raaste chalte rahte hain
hazaar sang-e-giraan ho hazaar jabr-e-zamaan
magar hayaat ke chashme ubalte rahte hain
ye aur baat ki ham mein hi sabr-o-zabt nahin
ye aur baat ki lamhaat talte rahte hain
ye waqt-e-shaam hai ya rab dil o nazar ki ho khair
ki is samay mein to saaye bhi dhalti rahte hain
kabhi vo din the zamaane se aashnaai thi
aur aaine se ab akhtar bahalte rahte hain
उफ़ुक़ उफ़ुक़ नए सूरज निकलते रहते हैं
दिए जलें न जलें दाग़ जलते रहते हैं
मिरी गली के मकीं ये मिरे रफ़ीक़-ए-सफ़र
ये लोग वो हैं जो चेहरे बदलते रहते हैं
ज़माने को तो हमेशा सफ़र में रहना है
जो क़ाफ़िले न चलें रस्ते चलते रहते हैं
हज़ार संग-ए-गिराँ हो हज़ार जब्र-ए-ज़माँ
मगर हयात के चश्मे उबलते रहते हैं
ये और बात कि हम में ही सब्र-ओ-ज़ब्त नहीं
ये और बात कि लम्हात टलते रहते हैं
ये वक़्त-ए-शाम है या रब दिल ओ नज़र की हो ख़ैर
कि इस समय में तो साए भी ढलते रहते हैं
कभी वो दिन थे ज़माने से आश्नाई थी
और आईने से अब 'अख़्तर' बहलते रहते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Hoshiyarpuri
our suggestion based on Akhtar Hoshiyarpuri
As you were reading Chehra Shayari Shayari