aag choolhe ki bujhi jaati hai
chaandni hai ki khili jaati hai
jis qadar neeche utarta hoon main
jheel bhi gahri hui jaati hai
gard uthi hai jo meri thokar se
ek deewaar bani jaati hai
pahre honton pe bithaane waale
baat aankhon se bhi ki jaati hai
log saahil pe khade dekhte hain
naav kaaghaz ki bahi jaati hai
आग चूल्हे की बुझी जाती है
चाँदनी है कि खिली जाती है
जिस क़दर नीचे उतरता हूँ मैं
झील भी गहरी हुई जाती है
गर्द उठी है जो मिरी ठोकर से
एक दीवार बनी जाती है
पहरे होंटों पे बिठाने वाले
बात आँखों से भी की जाती है
लोग साहिल पे खड़े देखते हैं
नाव काग़ज़ की बही जाती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Hoshiyarpuri
our suggestion based on Akhtar Hoshiyarpuri
As you were reading Aanch Shayari Shayari