shikaari raat bhar baithe rahe unchi machaanon par
musaafir phir bhi laut aane ko ja pahunchen thikaanon par
kisi ne jhaank kar dekha na baahar hi koi aaya
hawa ne umr bhar kya kya na dastak di makaanon par
khud apna aks-e-rukh hai jo kisi ko rok le badh kar
vagarna aadmi kab mustaqil thehra chataanon par
uthaaye aasmaan ke dukh bhi kis mein itni himmat hai
zameen hi ek bhari hai hamein to apni jaanon par
dareechon ne ye manzar aaj pehli baar dekha hai
ki tum jaane kahaan the aur suraj tha makaanon par
gharo se jab nikal aaye to sab ne raah li apni
magar duniya ki nazrein hain parindon ki uraano par
hawa yun hi to ham ko le ke pedon tak nahin aayi
hamaara naam tha likkha hua gandum ke daano par
ye maana aandhiyon ka haq hai sab par yurishen karna
magar ye main ki meri aankh hai khasta makaanon par
kuchh itne ho gaye maanoos sannaaton se ham akhtar
guzarti hai giran apni sada bhi ab to kaanon par
शिकारी रात भर बैठे रहे ऊँची मचानों पर
मुसाफ़िर फिर भी लौट आने को जा पहुँचे ठिकानों पर
किसी ने झाँक कर देखा न बाहर ही कोई आया
हवा ने उम्र भर क्या क्या न दस्तक दी मकानों पर
ख़ुद अपना अक्स-ए-रुख़ है जो किसी को रोक ले बढ़ कर
वगर्ना आदमी कब मुस्तक़िल ठहरा चटानों पर
उठाए आसमाँ के दुख भी किस में इतनी हिम्मत है
ज़मीं ही एक भारी है हमें तो अपनी जानों पर
दरीचों ने ये मंज़र आज पहली बार देखा है
कि तुम जाने कहाँ थे और सूरज था मकानों पर
घरों से जब निकल आए तो सब ने राह ली अपनी
मगर दुनिया की नज़रें हैं परिंदों की उड़ानों पर
हवा यूँ ही तो हम को ले के पेड़ों तक नहीं आई
हमारा नाम था लिक्खा हुआ गंदुम के दानों पर
ये माना आँधियों का हक़ है सब पर यूरिशें करना
मगर ये मैं कि मेरी आँख है ख़स्ता मकानों पर
कुछ इतने हो गए मानूस सन्नाटों से हम 'अख़्तर'
गुज़रती है गिराँ अपनी सदा भी अब तो कानों पर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Hoshiyarpuri
our suggestion based on Akhtar Hoshiyarpuri
As you were reading Hawa Shayari Shayari