kise khabar jab main shahr-e-jaan se guzar raha tha
zameen thi pahluu mein suraj ik kos par raha tha
hawa mein khushbuen meri pehchaan ban gai theen
main apni mitti se phool ban kar ubhar raha tha
ajeeb sargoshiyon ka aalam tha anjuman mein
main sun raha tha zamaana tanqeed kar raha tha
vo kaisi chat thi jo mujh ko awaaz de rahi thi
vo kya nagar tha jahaan main chup-chaap utar raha tha
main dekhta tha ki ungliyon mein diye ki lau hai
main jaagta tha ki rang khwaabon mein bhar raha tha
ye baat alag hai ki main ne jhaanka nahin gali mein
ye sach hai koi sadaaein deta guzar raha tha
ye chand be-harf-o-saut khaake mera asaasa
main jin ko ghazalon ka naam de kar sanwar raha tha
zamaana shabnam ke bhes mein aaya aur dua di
main zard-rut mein jab apni baahon mein mar raha tha
mujhe kisi se naqab-zani ka khatra nahin tha
mujhe akhtar apne hi jasd-e-khaaki se dar raha tha
किसे ख़बर जब मैं शहर-ए-जाँ से गुज़र रहा था
ज़मीं थी पहलू में सूरज इक कोस पर रहा था
हवा में ख़ुशबुएँ मेरी पहचान बन गई थीं
मैं अपनी मिट्टी से फूल बन कर उभर रहा था
अजीब सरगोशियों का आलम था अंजुमन में
मैं सुन रहा था ज़माना तन्क़ीद कर रहा था
वो कैसी छत थी जो मुझ को आवाज़ दे रही थी
वो क्या नगर था जहाँ मैं चुप-चाप उतर रहा था
मैं देखता था कि उँगलियों में दिए की लौ है
मैं जागता था कि रंग ख़्वाबों में भर रहा था
ये बात अलग है कि मैं ने झाँका नहीं गली में
ये सच है कोई सदाएँ देता गुज़र रहा था
ये चंद बे-हर्फ़-ओ-सौत ख़ाके मिरा असासा
मैं जिन को ग़ज़लों का नाम दे कर सँवर रहा था
ज़माना शबनम के भेस में आया और दुआ दी
मैं ज़र्द-रुत में जब अपनी बाहोँ में मर रहा था
मुझे किसी से नक़ब-ज़नी का ख़तर नहीं था
मुझे 'अख़्तर' अपने ही जस्द-ए-ख़ाकी से डर रहा था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Hoshiyarpuri
our suggestion based on Akhtar Hoshiyarpuri
As you were reading Awaaz Shayari Shayari