toofaan se qaryaa qaryaa ek hue
phir ret se chehra chehra ek hue
chaand ubharte hi ujli kirnon se
oopar ka kamra kamra ek hue
almaari mein tasveerein rakhta hoon
ab bachpan aur budhaapa ek hue
us ki gali ke mod se guzre kya the
sab raahi rasta rasta ek hue
deewaar giri to andar saamne tha
darwaaza aur dareecha ek hue
jab vo paudon ko paani deta tha
pas-manzar aur nazaara ek hue
kal aankh-micholi ke khel mein akhtar
main aur pedon ka saaya ek hue
तूफ़ाँ से क़र्या क़र्या एक हुए
फिर रेत से चेहरा चेहरा एक हुए
चाँद उभरते ही उजली किरनों से
ऊपर का कमरा कमरा एक हुए
अलमारी में तस्वीरें रखता हूँ
अब बचपन और बुढ़ापा एक हुए
उस की गली के मोड़ से गुज़रे क्या थे
सब राही रस्ता रस्ता एक हुए
दीवार गिरी तो अंदर सामने था
दरवाज़ा और दरीचा एक हुए
जब वो पौदों को पानी देता था
पस-मंज़र और नज़ारा एक हुए
कल आँख-मिचोली के खेल में 'अख़्तर'
मैं और पेड़ों का साया एक हुए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Hoshiyarpuri
our suggestion based on Akhtar Hoshiyarpuri
As you were reading Nazara Shayari Shayari