honton pe qarz-e-harf-e-wafa umr bhar raha | होंटों पे क़र्ज़-ए-हर्फ़-ए-वफ़ा उम्र भर रहा

  - Akhtar Hoshiyarpuri

honton pe qarz-e-harf-e-wafa umr bhar raha
maqrooz tha so chup ki sada umr bhar raha

kuchh darguzar ki un ko bhi aadat na thi kabhi
kuchh main bhi apni zid pe uda umr bhar raha

vo tajarbe hue ki mere khun ki khair ho
yaaro main apne ghar se juda umr bhar raha

mausam ka habs shab ki siyaahi faseel-e-shehr
mujrim tha sar jhukaaye khada umr bhar raha

subh o masaa ki gardish-e-paiham ke baawajood
main darmiyaan-e-subh-o-masaa umr bhar raha

in baarishon mein kaun bahe khaar-o-khas ke saath
suraj ki le ke sar pe rida umr bhar raha

haathon se ot ki to sabhi ungaliyaan jali
phir bhi hawa ki zad pe diya umr bhar raha

ik khoon ki khaleej mere saamne rahi
aur mere peeche saaya mera umr bhar raha

akhtar ye junglon mein usi ke nishaan hain
jo khaar khaar aabla-pa umr bhar raha

होंटों पे क़र्ज़-ए-हर्फ़-ए-वफ़ा उम्र भर रहा
मक़रूज़ था सो चुप की सदा उम्र भर रहा

कुछ दरगुज़र की उन को भी आदत न थी कभी
कुछ मैं भी अपनी ज़िद पे उड़ा उम्र भर रहा

वो तजरबे हुए कि मिरे ख़ूँ की ख़ैर हो
यारो मैं अपने घर से जुदा उम्र भर रहा

मौसम का हब्स शब की सियाही फ़सील-ए-शहर
मुजरिम था सर झुकाए खड़ा उम्र भर रहा

सुब्ह ओ मसा की गर्दिश-ए-पैहम के बावजूद
मैं दरमियान-ए-सुब्ह-ओ-मसा उम्र भर रहा

इन बारिशों में कौन बहे ख़ार-ओ-ख़स के साथ
सूरज की ले के सर पे रिदा उम्र भर रहा

हाथों से ओट की तो सभी उँगलियाँ जलीं
फिर भी हवा की ज़द पे दिया उम्र भर रहा

इक ख़ून की ख़लीज मिरे सामने रही
और मेरे पीछे साया मिरा उम्र भर रहा

'अख़्तर' ये जंगलों में उसी के निशान हैं
जो ख़ार ख़ार आबला-पा उम्र भर रहा

  - Akhtar Hoshiyarpuri

Charagh Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Hoshiyarpuri

As you were reading Shayari by Akhtar Hoshiyarpuri

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Hoshiyarpuri

Similar Moods

As you were reading Charagh Shayari Shayari