rukhsat-e-raqs bhi hai paanv mein zanjeer bhi hai | रुख़्सत-ए-रक़्स भी है पाँव में ज़ंजीर भी है

  - Akhtar Hoshiyarpuri

rukhsat-e-raqs bhi hai paanv mein zanjeer bhi hai
sar-e-manzar magar ik bolti tasveer bhi hai

mere shaanon pe farishton ka bhi hai baar-e-giraan
aur mere saamne ik malbe ki taameer bhi hai

zaaicha apna jo dekha hai to sar yaad aaya
jaise in haathon pe kanda koi taqdeer bhi hai

khwaahishein khoon mein utri hain sahifon ki tarah
in kitaabon mein tire haath ki tahreer bhi hai

jis se milna tha muqaddar vo dobara na mila
aur imkaan na tha jis ka vo inaan-geer bhi hai

sar-e-deewaar navishte bhi kai dekhta hoon
pas-e-deewaar magar hasrat-e-taameer bhi hai

main ye samjha tha sulagta hoon faqat main hi yahan
ab jo dekha to ye ehsaas hama-geer bhi hai

yun na dekho ki zamaana mutvajja ho jaaye
ki is andaaz-e-nazar mein meri tashheer bhi hai

main ne jo khwaab abhi dekha nahin hai akhtar
mera har khwaab usi khwaab ki taabeer bhi hai

रुख़्सत-ए-रक़्स भी है पाँव में ज़ंजीर भी है
सर-ए-मंज़र मगर इक बोलती तस्वीर भी है

मेरे शानों पे फ़रिश्तों का भी है बार-ए-गिराँ
और मिरे सामने इक मलबे की तामीर भी है

ज़ाइचा अपना जो देखा है तो सर याद आया
जैसे इन हाथों पे कंदा कोई तक़दीर भी है

ख़्वाहिशें ख़ून में उतरी हैं सहीफ़ों की तरह
इन किताबों में तिरे हाथ की तहरीर भी है

जिस से मिलना था मुक़द्दर वो दोबारा न मिला
और इम्काँ न था जिस का वो इनाँ-गीर भी है

सर-ए-दीवार नविश्ते भी कई देखता हूँ
पस-ए-दीवार मगर हसरत-ए-तामीर भी है

मैं ये समझा था सुलगता हूँ फ़क़त मैं ही यहाँ
अब जो देखा तो ये एहसास हमा-गीर भी है

यूँ न देखो कि ज़माना मुतवज्जा हो जाए
कि इस अंदाज़-ए-नज़र में मिरी तश्हीर भी है

मैं ने जो ख़्वाब अभी देखा नहीं है 'अख़्तर'
मेरा हर ख़्वाब उसी ख़्वाब की ताबीर भी है

  - Akhtar Hoshiyarpuri

Yaad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Hoshiyarpuri

As you were reading Shayari by Akhtar Hoshiyarpuri

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Hoshiyarpuri

Similar Moods

As you were reading Yaad Shayari Shayari