kya poochte ho mujh se ki main kis nagar ka tha | क्या पूछते हो मुझ से कि मैं किस नगर का था

  - Akhtar Hoshiyarpuri

kya poochte ho mujh se ki main kis nagar ka tha
jalta hua charaagh meri rah-guzar ka tha

ham jab safar pe nikle the taaron ki chaanv thi
phir apne ham-rikaab ujaala sehar ka tha

saahil ki geeli ret ne baksha tha pairhan
jaise samundron ka safar chashm-e-tar ka tha

chehre pe udti gard thi baalon mein raakh thi
shaayad vo hum-safar mere ujde nagar ka tha

kya cheekhti hawaon se ahvaal poochta
saaya hi yaadgaar mere hum-safar ka tha

yaksaaniyat thi kitni hamaare vujood mein
apna jo haal tha wahi aalam bhanwar ka tha

vo kaun tha jo le ke mujhe ghar se chal pada
soorat khizr ki thi na vo chehra khizr ka tha

dahleez paar kar na sake aur laut aaye
shaayad musafiron ko khatra baam-o-dar ka tha

kacche makaan jitne the baarish mein bah gaye
warna jo mera dukh tha vo dukh umr bhar ka tha

main us gali se kaise guzarta jhuka ke sar
aakhir ko ye muaamla bhi sang-o-sar ka tha

logon ne khud hi kaat diye raaston ke ped
akhtar badalti rut mein ye haasil nazar ka tha

क्या पूछते हो मुझ से कि मैं किस नगर का था
जलता हुआ चराग़ मिरी रह-गुज़र का था

हम जब सफ़र पे निकले थे तारों की छाँव थी
फिर अपने हम-रिकाब उजाला सहर का था

साहिल की गीली रेत ने बख़्शा था पैरहन
जैसे समुंदरों का सफ़र चश्म-ए-तर का था

चेहरे पे उड़ती गर्द थी बालों में राख थी
शायद वो हम-सफ़र मिरे उजड़े नगर का था

क्या चीख़ती हवाओं से अहवाल पूछता
साया ही यादगार मिरे हम-सफ़र का था

यकसानियत थी कितनी हमारे वजूद में
अपना जो हाल था वही आलम भँवर का था

वो कौन था जो ले के मुझे घर से चल पड़ा
सूरत ख़िज़र की थी न वो चेहरा ख़िज़र का था

दहलीज़ पार कर न सके और लौट आए
शायद मुसाफ़िरों को ख़तर बाम-ओ-दर का था

कच्चे मकान जितने थे बारिश में बह गए
वर्ना जो मेरा दुख था वो दुख उम्र भर का था

मैं उस गली से कैसे गुज़रता झुका के सर
आख़िर को ये मुआमला भी संग-ओ-सर का था

लोगों ने ख़ुद ही काट दिए रास्तों के पेड़
'अख़्तर' बदलती रुत में ये हासिल नज़र का था

  - Akhtar Hoshiyarpuri

Zulf Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Hoshiyarpuri

As you were reading Shayari by Akhtar Hoshiyarpuri

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Hoshiyarpuri

Similar Moods

As you were reading Zulf Shayari Shayari