ik noor tha ki pichhle pahar hum-safar hua
mujh ko qaba ka chaak hi chaak-e-sehr hua
sailaab umand ke shehar ki galiyon mein aa gaye
lekin ghareeb-e-shehr ka daaman na tar hua
zindaan-e-aarzoo mein nazar be-basar rahi
deewaar dar hui to kiran ka guzar hua
vo aandhiyaan chali hain ki ashjaar ukhad gaye
dukaan-e-sheeshaagar pe na phir bhi asar hua
ab kaun dekhta phire kyun baam-o-dar jale
jo kuchh hua hai fasl-e-chaman se udhar hua
इक नूर था कि पिछले पहर हम-सफ़र हुआ
मुझ को क़बा का चाक ही चाक-ए-सहर हुआ
सैलाब उमँड के शहर की गलियों में आ गए
लेकिन ग़रीब-ए-शहर का दामन न तर हुआ
ज़िंदान-ए-आरज़ू में नज़र बे-बसर रही
दीवार दर हुई तो किरन का गुज़र हुआ
वो आँधियाँ चली हैं कि अश्जार उखड़ गए
दुक्कान-ए-शीशागर पे न फिर भी असर हुआ
अब कौन देखता फिरे क्यूँ बाम-ओ-दर जले
जो कुछ हुआ है फ़स्ल-ए-चमन से उधर हुआ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Hoshiyarpuri
our suggestion based on Akhtar Hoshiyarpuri
As you were reading Terrorism Shayari Shayari