khwaahishein itni badhin insaan aadha rah gaya
khwaab jo dekha nahin vo bhi adhoora rah gaya
main to us ke saath hi ghar se nikal kar aa gaya
aur peeche ek dastak ek saaya rah gaya
us ko to pairahanon se koi dilchaspi na thi
dukh to ye hai rafta rafta main bhi nangaa rah gaya
rang tasveeron ka utara to kahi thehra nahin
ab ke vo baarish hui har naqsh feeka rah gaya
umr bhar manzar-nigaari khoon mein utri rahi
phir bhi aankhon ke muqaabil ek dariya rah gaya
raunqen jitni theen dahleezon se baahar aa gaeein
shaam hi se ghar ka darwaaza khula kya rah gaya
ab ke sheher-e-zindagi mein saanehaa aisa hua
main sada deta use vo mujh ko takta rah gaya
titliyon ke par kitaabon mein kahi gum ho gaye
mutthiyon ke aaine mein ek chehra rah gaya
rail ki gaadi chali to ik musaafir ne kaha
dekhna vo koi station pe baitha rah gaya
main na kehta tha ki ujlat is qadar achhi nahin
ek pat khidki ka aa kar dekh lo vaa rah gaya
log apni kirchiyaan chun chun ke aage badh gaye
main magar samaan ikattha karta tanhaa rah gaya
aaj tak mauj-e-hawa to laut kar aayi nahin
kya kisi ujde nagar mein deep jalta rah gaya
ungliyon ke naqsh gul-daano pe aate hain nazar
aao dekhen apne andar aur kya kya rah gaya
dhoop ki garmi se eenten pak gaeein fal pak gaye
ik hamaara jism tha akhtar jo kaccha rah gaya
ख़्वाहिशें इतनी बढ़ीं इंसान आधा रह गया
ख़्वाब जो देखा नहीं वो भी अधूरा रह गया
मैं तो उस के साथ ही घर से निकल कर आ गया
और पीछे एक दस्तक एक साया रह गया
उस को तो पैराहनों से कोई दिलचस्पी न थी
दुख तो ये है रफ़्ता रफ़्ता मैं भी नंगा रह गया
रंग तस्वीरों का उतरा तो कहीं ठहरा नहीं
अब के वो बारिश हुई हर नक़्श फीका रह गया
उम्र भर मंज़र-निगारी ख़ून में उतरी रही
फिर भी आँखों के मुक़ाबिल एक दरिया रह गया
रौनक़ें जितनी थीं दहलीज़ों से बाहर आ गईं
शाम ही से घर का दरवाज़ा खुला क्या रह गया
अब के शहर-ए-ज़िंदगी में सानेहा ऐसा हुआ
मैं सदा देता उसे वो मुझ को तकता रह गया
तितलियों के पर किताबों में कहीं गुम हो गए
मुट्ठियों के आईने में एक चेहरा रह गया
रेल की गाड़ी चली तो इक मुसाफ़िर ने कहा
देखना वो कोई स्टेशन पे बैठा रह गया
मैं न कहता था कि उजलत इस क़दर अच्छी नहीं
एक पट खिड़की का आ कर देख लो वा रह गया
लोग अपनी किर्चियाँ चुन चुन के आगे बढ़ गए
मैं मगर सामान इकट्ठा करता तन्हा रह गया
आज तक मौज-ए-हवा तो लौट कर आई नहीं
क्या किसी उजड़े नगर में दीप जलता रह गया
उँगलियों के नक़्श गुल-दानों पे आते हैं नज़र
आओ देखें अपने अंदर और क्या क्या रह गया
धूप की गर्मी से ईंटें पक गईं फल पक गए
इक हमारा जिस्म था 'अख़्तर' जो कच्चा रह गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Hoshiyarpuri
our suggestion based on Akhtar Hoshiyarpuri
As you were reading Nadii Shayari Shayari