vo jo deewar-e-aashnaai thi
apni hi zaat ki ikaai thi
main sar-e-dasht-e-jaan tha aawaara
aur ghar mein bahaar aayi thi
maile kapdon ka apna rang bhi tha
phir bhi qismat mein jag-hansaai thi
ab to aankhon mein apna chehra hai
kabhi sheeshe se aashnaai thi
apni hi zaat mein tha main mahfooz
aur phir khud hi se ladai thi
apni awaaz se bhi darta tha
haaye kya cheez aashnaai thi
zindagi gard gard thi akhtar
jaane loot kar kahaan se aayi thi
वो जो दीवार-ए-आश्नाई थी
अपनी ही ज़ात की इकाई थी
मैं सर-ए-दश्त-ए-जाँ था आवारा
और घर में बहार आई थी
मैले कपड़ों का अपना रंग भी था
फिर भी क़िस्मत में जग-हँसाई थी
अब तो आँखों में अपना चेहरा है
कभी शीशे से आश्नाई थी
अपनी ही ज़ात में था मैं महफ़ूज़
और फिर ख़ुद ही से लड़ाई थी
अपनी आवाज़ से भी डरता था
हाए क्या चीज़ आश्नाई थी
ज़िंदगी गर्द गर्द थी 'अख़्तर'
जाने लुट कर कहाँ से आई थी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Hoshiyarpuri
our suggestion based on Akhtar Hoshiyarpuri
As you were reading Gulshan Shayari Shayari