gaye zamaane ki soorat badan churaaye vo
nayi rutoon ki tarah se bhi muskuraaye vo
hazaar meri nafi bhi kare vo mera hai
ki mere hone ka ehsaas bhi dilaae vo
har ek shakhs yahan apne dil ka maalik hai
main laakh us ko bulaaoon magar na aaye vo
hawa ki aahaten sunta hoon dhadkano ki tarah
misaal-e-sham'a mujhe raat-bhar jagaae vo
mere badan ko lahu-rang pairhan bhi de
meri qaba se mere zakham bhi chhupaaye vo
meri ragon ka lahu bint-e-am se milta hai
main apna aap bhi dekhoon to yaad aaye vo
tamaam raat guzaari hai kirchiyaan chunte
sehar hui to naya aaina dikhaaye vo
mera vujood kitaabon mein harf harf hua
khuda kare meri awaaz ban ke aaye vo
vo ek shola-e-javvaala jo chhue jal jaaye
magar khud apne hi saaye se khauf khaaye vo
ye kya ki mujh ko chhupaaya hai meri nazaron se
kabhi to mujh ko mere saamne bhi laaye vo
main apne aap se nikla to saamne vo tha
aur ab ye soch raha hoon kahi ko jaaye vo
palat chuka hoon varq zindagi ke ai akhtar
hareem-e-shab mein dabey paanv phir bhi aaye vo
गए ज़माने की सूरत बदन चुराए वो
नई रुतों की तरह से भी मुस्कुराए वो
हज़ार मेरी नफ़ी भी करे वो मेरा है
कि मेरे होने का एहसास भी दिलाए वो
हर एक शख़्स यहाँ अपने दिल का मालिक है
मैं लाख उस को बुलाऊँ मगर न आए वो
हवा की आहटें सुनता हूँ धड़कनों की तरह
मिसाल-ए-शम्अ मुझे रात-भर जगाए वो
मिरे बदन को लहू-रंग पैरहन भी दे
मिरी क़बा से मिरे ज़ख़्म भी छुपाए वो
मिरी रगों का लहू बिंत-ए-अम से मिलता है
मैं अपना आप भी देखूँ तो याद आए वो
तमाम रात गुज़ारी है किर्चियाँ चुनते
सहर हुई तो नया आइना दिखाए वो
मिरा वजूद किताबों में हर्फ़ हर्फ़ हुआ
ख़ुदा करे मिरी आवाज़ बन के आए वो
वो एक शो'ला-ए-जव्वाला जो छुए जल जाए
मगर ख़ुद अपने ही साए से ख़ौफ़ खाए वो
ये क्या कि मुझ को छुपाया है मेरी नज़रों से
कभी तो मुझ को मिरे सामने भी लाए वो
मैं अपने आप से निकला तो सामने वो था
और अब ये सोच रहा हूँ कहीं को जाए वो
पलट चुका हूँ वरक़ ज़िंदगी के ऐ 'अख़्तर'
हरीम-ए-शब में दबे पाँव फिर भी आए वो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Hoshiyarpuri
our suggestion based on Akhtar Hoshiyarpuri
As you were reading Raat Shayari Shayari