hareef-e-daastaan karna pada hai | हरीफ़-ए-दास्ताँ करना पड़ा है

  - Akhtar Hoshiyarpuri

hareef-e-daastaan karna pada hai
zameen ko aasmaan karna pada hai

nikal kar aa gaye hain junglon mein
makaan ko la-makaan karna pada hai

sawaa neze pe suraj aa gaya tha
lahu ko saaebaan karna pada hai

bahut tareek theen hasti ki raahen
badan ko kahkashaan karna pada hai

kise maaloom lams un ungliyon ka
hawa ko raaz-daan karna pada hai

vo shaayad koi sacchi baat kah de
use phir bad-gumaan karna pada hai

main apne saare patte faash karta
magar aisa kahaan karna pada hai

safar aasaan nahin harf o qalam ka
hamein tay haft-khwaan karna pada hai

tha jis se ikhtilaaf-e-raay mumkin
usi ko meherbaan karna pada hai

saf-e-aadaa mein apne baazuon ko
mujhe akhtar kamaan karna pada hai

हरीफ़-ए-दास्ताँ करना पड़ा है
ज़मीं को आसमाँ करना पड़ा है

निकल कर आ गए हैं जंगलों में
मकाँ को ला-मकाँ करना पड़ा है

सवा नेज़े पे सूरज आ गया था
लहू को साएबाँ करना पड़ा है

बहुत तारीक थीं हस्ती की राहें
बदन को कहकशाँ करना पड़ा है

किसे मालूम लम्स उन उँगलियों का
हवा को राज़-दाँ करना पड़ा है

वो शायद कोई सच्ची बात कह दे
उसे फिर बद-गुमाँ करना पड़ा है

मैं अपने सारे पत्ते फ़ाश करता
मगर ऐसा कहाँ करना पड़ा है

सफ़र आसाँ नहीं हरफ़ ओ क़लम का
हमें तय हफ़्त-ख़्वाँ करना पड़ा है

था जिस से इख़्तिलाफ़-ए-राय मुमकिन
उसी को मेहरबाँ करना पड़ा है

सफ़-ए-आदा में अपने बाज़ुओं को
मुझे 'अख़्तर' कमाँ करना पड़ा है

  - Akhtar Hoshiyarpuri

Kamar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Hoshiyarpuri

As you were reading Shayari by Akhtar Hoshiyarpuri

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Hoshiyarpuri

Similar Moods

As you were reading Kamar Shayari Shayari