hum akshar teergi mein apne peeche chhup gaye hain | हम अक्सर तीरगी में अपने पीछे छुप गए हैं - Akhtar Hoshiyarpuri

hum akshar teergi mein apne peeche chhup gaye hain
magar jab raaston mein chaand ubhara chal pade hain

zamaana apni uryaani pe khun roega kab tak
humein dekho ki apne aap ko odhe hue hain

mera bistar kisi fut-paath par ja kar laga do
mere bacche abhi se mujh se tarka maangte hain

buland awaaz de kar dekh lo koi to hoga
jo galiyaan so gai hain to parinde jaagte hain

koi tafseel hum se poochna ho pooch lijye
ki hum bhi aaine ke saamne barson rahe hain

abhi ai daastaan-go dastaan kehta chala ja
abhi hum jaagte hain jumbish-e-lab dekhte hain

hawa apne hi jhonkon ka ta'aqub kar rahi hai
ki udte patte phir aankhon se ojhal ho rahe hain

humein bhi is kahaani ka koi kirdaar samjho
ki jis mein lab pe mohrein hain dariche bolte hain

idhar se paaniyon ka rela kab ka ja chuka hai
magar bacche darakhton se abhi chimte hue hain

mujhe to chalte rahna hai kisi jaanib bhi jaaun
ki akhtar mere qadmon mein abhi tak raaste hain

हम अक्सर तीरगी में अपने पीछे छुप गए हैं
मगर जब रास्तों में चाँद उभरा चल पड़े हैं

ज़माना अपनी उर्यानी पे ख़ूँ रोएगा कब तक
हमें देखो कि अपने आप को ओढ़े हुए हैं

मिरा बिस्तर किसी फ़ुट-पाथ पर जा कर लगा दो
मिरे बच्चे अभी से मुझ से तरका माँगते हैं

बुलंद आवाज़ दे कर देख लो कोई तो होगा
जो गलियाँ सो गई हैं तो परिंदे जागते हैं

कोई तफ़्सील हम से पूछना हो पूछ लीजे
कि हम भी आईने के सामने बरसों रहे हैं

अभी ऐ दास्ताँ-गो दास्ताँ कहता चला जा
अभी हम जागते हैं जुम्बिश-ए-लब देखते हैं

हवा अपने ही झोंकों का तआक़ुब कर रही है
कि उड़ते पत्ते फिर आँखों से ओझल हो रहे हैं

हमें भी इस कहानी का कोई किरदार समझो
कि जिस में लब पे मोहरें हैं दरीचे बोलते हैं

इधर से पानियों का रेला कब का जा चुका है
मगर बच्चे दरख़्तों से अभी चिमटे हुए हैं

मुझे तो चलते रहना है किसी जानिब भी जाऊँ
कि 'अख़्तर' मेरे क़दमों में अभी तक रास्ते हैं

- Akhtar Hoshiyarpuri
0 Likes

Nature Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Hoshiyarpuri

As you were reading Shayari by Akhtar Hoshiyarpuri

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Hoshiyarpuri

Similar Moods

As you were reading Nature Shayari Shayari