kab logon ne alfaaz ke patthar nahin fenke
vo khat bhi magar main ne jala kar nahin fenke
thehre hue paani ne ishaara to kiya tha
kuchh soch ke khud main ne hi patthar nahin fenke
ik tanj hai kaliyon ka tabassum bhi magar kyun
main ne to kabhi phool masal kar nahin fenke
vaise to iraada nahin tauba-shikni ka
lekin abhi toote hue saaghar nahin fenke
kya baat hai us ne meri tasveer ke tukde
ghar mein hi chhupa rakhe hain baahar nahin fenke
darwaazon ke sheeshe na badalwaiye nazmi
logon ne abhi haath se patthar nahin fenke
कब लोगों ने अल्फ़ाज़ के पत्थर नहीं फेंके
वो ख़त भी मगर मैं ने जला कर नहीं फेंके
ठहरे हुए पानी ने इशारा तो किया था
कुछ सोच के ख़ुद मैं ने ही पत्थर नहीं फेंके
इक तंज़ है कलियों का तबस्सुम भी मगर क्यूँ
मैं ने तो कभी फूल मसल कर नहीं फेंके
वैसे तो इरादा नहीं तौबा-शिकनी का
लेकिन अभी टूटे हुए साग़र नहीं फेंके
क्या बात है उस ने मिरी तस्वीर के टुकड़े
घर में ही छुपा रक्खे हैं बाहर नहीं फेंके
दरवाज़ों के शीशे न बदलवाइए 'नज़मी'
लोगों ने अभी हाथ से पत्थर नहीं फेंके
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Nazmi
our suggestion based on Akhtar Nazmi
As you were reading Rose Shayari Shayari