ab nahin laut ke aane waala | अब नहीं लौट के आने वाला

  - Akhtar Nazmi

ab nahin laut ke aane waala
ghar khula chhod ke jaane waala

ho gaeein kuchh idhar aisi baatein
ruk gaya roz ka aane waala

aks aankhon se chura leta hai
ek tasveer banaane waala

laakh honton pe hasi ho lekin
khush nahin khush nazar aane waala

zad mein toofaan ki aaya kaise
pyaas saahil pe bujhaane waala

rah gaya hai mera saaya ban kar
mujh ko khaatir mein na laane waala

ban gaya hum-safar aakhir nazmi
raasta kaat ke jaane waala

अब नहीं लौट के आने वाला
घर खुला छोड़ के जाने वाला

हो गईं कुछ इधर ऐसी बातें
रुक गया रोज़ का आने वाला

अक्स आँखों से चुरा लेता है
एक तस्वीर बनाने वाला

लाख होंटों पे हँसी हो लेकिन
ख़ुश नहीं ख़ुश नज़र आने वाला

ज़द में तूफ़ान की आया कैसे
प्यास साहिल पे बुझाने वाला

रह गया है मिरा साया बन कर
मुझ को ख़ातिर में न लाने वाला

बन गया हम-सफ़र आख़िर 'नज़्मी'
रास्ता काट के जाने वाला

  - Akhtar Nazmi

Tasweer Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Nazmi

As you were reading Shayari by Akhtar Nazmi

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Nazmi

Similar Moods

As you were reading Tasweer Shayari Shayari