jo bhi mil jaata hai ghar-baar ko de deta hoon | जो भी मिल जाता है घर-बार को दे देता हूँ

  - Akhtar Nazmi

jo bhi mil jaata hai ghar-baar ko de deta hoon
ya kisi aur talabgaar ko de deta hoon

dhoop ko deta hoon tan apna jhulsane ke liye
aur saaya kisi deewaar ko de deta hoon

jo dua apne liye maangni hoti hai mujhe
vo dua bhi kisi gham-khwaar ko de deta hoon

mutmain ab bhi agar koi nahin hai na sahi
haq to main pehle hi haqdaar ko de deta hoon

jab bhi likhta hoon main afsaana yahi hota hai
apna sab kuchh kisi kirdaar ko de deta hoon

khud ko kar deta hoon kaaghaz ke hawaale akshar
apna chehra kabhi akhbaar ko deta hoon

meri dookaan ki cheezen nahin bikti nazmi
itni tafseel khareedaar ko de deta hoon

जो भी मिल जाता है घर-बार को दे देता हूँ
या किसी और तलबगार को दे देता हूँ

धूप को देता हूँ तन अपना झुलसने के लिए
और साया किसी दीवार को दे देता हूँ

जो दुआ अपने लिए माँगनी होती है मुझे
वो दुआ भी किसी ग़म-ख़्वार को दे देता हूँ

मुतमइन अब भी अगर कोई नहीं है न सही
हक़ तो मैं पहले ही हक़दार को दे देता हूँ

जब भी लिखता हूँ मैं अफ़साना यही होता है
अपना सब कुछ किसी किरदार को दे देता हूँ

ख़ुद को कर देता हूँ काग़ज़ के हवाले अक्सर
अपना चेहरा कभी अख़बार को देता हूँ

मेरी दूकान की चीज़ें नहीं बिकती 'नज़मी'
इतनी तफ़्सील ख़रीदार को दे देता हूँ

  - Akhtar Nazmi

Freedom Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Nazmi

As you were reading Shayari by Akhtar Nazmi

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Nazmi

Similar Moods

As you were reading Freedom Shayari Shayari