silsila zakham zakham jaari hai
ye zameen door tak hamaari hai
is zameen se ajab taalluq hai
zarre zarre se rishtedaari hai
main bahut kam kisi se milta hoon
jis se yaari hai us se yaari hai
naav kaaghaz ki chhod di main ne
ab samundar ki zimmedaari hai
bech daala hai din ka har lamha
raat thodi bahut hamaari hai
ret ke ghar to bah gaye lekin
baarishon ka khuloos jaari hai
koi nazmi guzaar kar dekhe
main ne jo zindagi guzaari hai
सिलसिला ज़ख़्म ज़ख़्म जारी है
ये ज़मीं दूर तक हमारी है
इस ज़मीं से अजब तअल्लुक़ है
ज़र्रे ज़र्रे से रिश्तेदारी है
मैं बहुत कम किसी से मिलता हूँ
जिस से यारी है उस से यारी है
नाव काग़ज़ की छोड़ दी मैं ने
अब समुंदर की ज़िम्मेदारी है
बेच डाला है दिन का हर लम्हा
रात थोड़ी बहुत हमारी है
रेत के घर तो बह गए लेकिन
बारिशों का ख़ुलूस जारी है
कोई 'नज़्मी' गुज़ार कर देखे
मैं ने जो ज़िंदगी गुज़ारी है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Nazmi
our suggestion based on Akhtar Nazmi
As you were reading Andhera Shayari Shayari