khayal usi ki taraf baar baar jaata hai | ख़याल उसी की तरफ़ बार बार जाता है - Akhtar Nazmi

khayal usi ki taraf baar baar jaata hai
mere safar ki thakan kaun utaar jaata hai

ye us ka apna tareeqa hai daan karne ka
vo jis se shart lagata hai haar jaata hai

ye khel meri samajh mein kabhi nahin aaya
main jeet jaata hoon baazi vo maar jaata hai

main apni neend davaaon se qarz leta hoon
ye qarz khwaab mein koi utaar jaata hai

nasha bhi hota hai halka sa zahar mein shaamil
vo jab bhi milta hai ik dank maar jaata hai

main sab ke vaaste karta hoon kuch na kuch nazmi
jahaan jahaan bhi mera ikhtiyaar jaata hai

ख़याल उसी की तरफ़ बार बार जाता है
मिरे सफ़र की थकन कौन उतार जाता है

ये उस का अपना तरीक़ा है दान करने का
वो जिस से शर्त लगाता है हार जाता है

ये खेल मेरी समझ में कभी नहीं आया
मैं जीत जाता हूँ बाज़ी वो मार जाता है

मैं अपनी नींद दवाओं से क़र्ज़ लेता हूँ
ये क़र्ज़ ख़्वाब में कोई उतार जाता है

नशा भी होता है हल्का सा ज़हर में शामिल
वो जब भी मिलता है इक डंक मार जाता है

मैं सब के वास्ते करता हूँ कुछ न कुछ 'नज़मी'
जहाँ जहाँ भी मिरा इख़्तियार जाता है

- Akhtar Nazmi
1 Like

Ijazat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Nazmi

As you were reading Shayari by Akhtar Nazmi

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Nazmi

Similar Moods

As you were reading Ijazat Shayari Shayari