main ne maana ek na ik din laut ke tu aa jaayega
lekin tujh bin umr jo guzri kaun use lautaaega
hijr ke sadme us ka taghaaful baatein hain sab kehne ki
kuchh bhi na mujh ko yaad rahega jab vo gale lag jaayega
khwaab-e-wafa aankhon mein basaaye firta hai kya deewane
taabirein pathraav karengi jab tu khwaab sunaayega
kitni yaadein kitne qisse naqsh hain in deewaron par
chalte chalte dekh len mud kar kaun yahan phir aayega
baad-e-bahaari itna bata de saada-dilaan-e-mausam ko
sarf-e-chaman jo khoon hua hai rang vo kab tak laayega
मैं ने माना एक न इक दिन लौट के तू आ जाएगा
लेकिन तुझ बिन उम्र जो गुज़री कौन उसे लौटाएगा
हिज्र के सदमे उस का तग़ाफ़ुल बातें हैं सब कहने की
कुछ भी न मुझ को याद रहेगा जब वो गले लग जाएगा
ख़्वाब-ए-वफ़ा आँखों में बसाए फिरता है क्या दीवाने
ताबीरें पथराव करेंगी जब तू ख़्वाब सुनाएगा
कितनी यादें कितने क़िस्से नक़्श हैं इन दीवारों पर
चलते चलते देख लें मुड़ कर कौन यहाँ फिर आएगा
बाद-ए-बहारी इतना बता दे सादा-दिलान-ए-मौसम को
सर्फ़-ए-चमन जो ख़ून हुआ है रंग वो कब तक लाएगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Saeed Khan
our suggestion based on Akhtar Saeed Khan
As you were reading I Miss you Shayari Shayari