ishq ke toote hue rishton ka maatam kya karein
zindagi aa tujh se phir ik baar samjhauta karein
zindagi kab tak tire darmaandgaan-e-aarzoo
khwaab dekhen aur taabiron ko sharminda karein
mud ke dekha aur patthar ke hue is shehar mein
khud sada ban jaao aawaazen agar peecha karein
na-umeedaana bhi jeene ka saleeqa hai hamein
aaine toote hue dil mein saja kar kya karein
chand zarre dil ke raksaan hain fazaaon mein abhi
laao in zarroon mein hashr-e-aarzoo barpa karein
khoon-chakaan aankhon se apni khush nahin ham bhi magar
chaak daaman ho to si len chaak-e-dil ko kya karein
bujh gaye ek ek kar ke sab aqeedon ke charaagh
ai zamaane ki hawa ab ye bata ham kya karein
aafiyat dushman tha dil-na-aaqebat-andesh ham
ab kise ilzaam den akhtar kise rusva karein
इश्क़ के टूटे हुए रिश्तों का मातम क्या करें
ज़िंदगी आ तुझ से फिर इक बार समझौता करें
ज़िंदगी कब तक तिरे दरमांदगान-ए-आरज़ू
ख़्वाब देखें और ताबीरों को शर्मिंदा करें
मुड़ के देखा और पत्थर के हुए इस शहर में
ख़ुद सदा बन जाओ आवाज़ें अगर पीछा करें
ना-उमीदाना भी जीने का सलीक़ा है हमें
आइने टूटे हुए दिल में सजा कर क्या करें
चंद ज़र्रे दिल के रक़्साँ हैं फ़ज़ाओं में अभी
लाओ इन ज़र्रों में हश्र-ए-आरज़ू बरपा करें
ख़ूँ-चकाँ आँखों से अपनी ख़ुश नहीं हम भी मगर
चाक दामन हो तो सी लें चाक-ए-दिल को क्या करें
बुझ गए एक एक कर के सब अक़ीदों के चराग़
ऐ ज़माने की हवा अब ये बता हम क्या करें
आफ़ियत दुश्मन था दिल-ना-आक़ेबत-अंदेश हम
अब किसे इल्ज़ाम दें 'अख़्तर' किसे रुस्वा करें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Saeed Khan
our suggestion based on Akhtar Saeed Khan
As you were reading Dushman Shayari Shayari