sun raha hoon be-sada naghma jo main baa-chashm-e-tar
chupke chupke zindagi hansati hai mere haal par
apni saari umr kho kar main ne paaya hai tumhein
aao mere gham ke sannaato mere nazdeek-tar
ek dil tha so hua hai paayemaal-e-aarzoo
ab na koi rehnuma hai aur na koi hum-safar
har qadam par poochta hoon paanv ke chhaalon se main
ye meri manzil hai ya baaki hai meri raahguzaar
kaun hai ye jo mere dil mein hai ab tak mahv-e-khwaab
dhoondte hain ek muddat se jise shaam-o-sehar
band hain waraftagaan-e-husn par sab raaste
tere dar se main agar uththoon to jaaunga kidhar
jal raha hai aatish-e-furqat mein lekin zinda hai
kyun liye baitha hai ye ilzaam akhtar apne sar
सुन रहा हूँ बे-सदा नग़्मा जो मैं बा-चश्म-ए-तर
चुपके चुपके ज़िंदगी हँसती है मेरे हाल पर
अपनी सारी उम्र खो कर मैं ने पाया है तुम्हें
आओ मेरे ग़म के सन्नाटो मिरे नज़दीक-तर
एक दिल था सो हुआ है पाएमाल-ए-आरज़ू
अब न कोई रहनुमा है और न कोई हम-सफ़र
हर क़दम पर पूछता हूँ पाँव के छालों से मैं
ये मिरी मंज़िल है या बाक़ी है मेरी रहगुज़र
कौन है ये जो मिरे दिल में है अब तक महव-ए-ख़्वाब
ढूँडते हैं एक मुद्दत से जिसे शाम-ओ-सहर
बंद हैं वारफ़्तगान-ए-हुस्न पर सब रास्ते
तेरे दर से मैं अगर उठ्ठूँ तो जाऊँगा किधर
जल रहा है आतिश-ए-फ़ुर्क़त में लेकिन ज़िंदा है
क्यूँ लिए बैठा है ये इल्ज़ाम 'अख़्तर' अपने सर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Saeed Khan
our suggestion based on Akhtar Saeed Khan
As you were reading Dard Shayari Shayari