bala-e-teera-shabee ka jawaab le aaye | बला-ए-तीरा-शबी का जवाब ले आए - Akhtar Saeed Khan

bala-e-teera-shabee ka jawaab le aaye
bujhe charaagh to hum aftaab le aaye

bikhar gaye jo kabhi chashm-e-intizaar ke rang
is anjuman se hum ik aur khwaab le aaye

hum is zameen pe mizaan-e-adl rakhte hain
kaho zamaane se fard-e-hisaab le aaye

har ek gham se salaamat guzar gaya hai dil
khuda kare ki mohabbat ki taab le aaye

gaye the hum bhi in aankhon se maangne kya kya
wahi hua ki bas ik iztiraab le aaye

hamaari laghzish-e-paiham ko raayegaan na samajh
ajab nahin ki yahi inqilaab le aaye

na laaye kuch bhi hum aashob-e-dehr mein akhtar
bas ek hausla-e-iztiraab le aaye

बला-ए-तीरा-शबी का जवाब ले आए
बुझे चराग़ तो हम आफ़्ताब ले आए

बिखर गए जो कभी चश्म-ए-इन्तिज़ार के रंग
इस अंजुमन से हम इक और ख़्वाब ले आए

हम इस ज़मीन पे मीज़ान-ए-अद्ल रखते हैं
कहो ज़माने से फ़र्द-ए-हिसाब ले आए

हर एक ग़म से सलामत गुज़र गया है दिल
ख़ुदा करे कि मोहब्बत की ताब ले आए

गए थे हम भी इन आँखों से माँगने क्या क्या
वही हुआ कि बस इक इज़्तिराब ले आए

हमारी लग़्ज़िश-ए-पैहम को राएगाँ न समझ
अजब नहीं कि यही इंक़लाब ले आए

न लाए कुछ भी हम आशोब-ए-दहर में 'अख़्तर'
बस एक हौसला-ए-इज़तिराब ले आए

- Akhtar Saeed Khan
0 Likes

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Saeed Khan

As you were reading Shayari by Akhtar Saeed Khan

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Saeed Khan

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari