dil-e-shoreeda ki vehshat nahin dekhi jaati
roz ik sar pe qayamat nahin dekhi jaati
ab un aankhon mein vo agli si nidaamat bhi nahin
ab dil-e-zaar ki haalat nahin dekhi jaati
band kar de koi maazi ka dareecha mujh par
ab is aaine mein soorat nahin dekhi jaati
aap ki ranjish-e-beja hi bahut hai mujh ko
dil pe har taaza museebat nahin dekhi jaati
tu kahaani hi ke parde mein bhali lagti hai
zindagi teri haqeeqat nahin dekhi jaati
lafz us shokh ka munh dekh ke rah jaate hain
lab-e-izhaar ki hasrat nahin dekhi jaati
dushman-e-jaan hi sahi saath to ik umr ka hai
dil se ab dard ki ruksat nahin dekhi jaati
dekha jaata hai yahan hausla-e-qata-e-safar
nafs-e-chand ki mohlat nahin dekhi jaati
dekhiye jab bhi mizaa par hai ik aansu akhtar
deeda-e-tar ki rifaqat nahin dekhi jaati
दिल-ए-शोरीदा की वहशत नहीं देखी जाती
रोज़ इक सर पे क़यामत नहीं देखी जाती
अब उन आँखों में वो अगली सी निदामत भी नहीं
अब दिल-ए-ज़ार की हालत नहीं देखी जाती
बंद कर दे कोई माज़ी का दरीचा मुझ पर
अब इस आईने में सूरत नहीं देखी जाती
आप की रंजिश-ए-बेजा ही बहुत है मुझ को
दिल पे हर ताज़ा मुसीबत नहीं देखी जाती
तू कहानी ही के पर्दे में भली लगती है
ज़िंदगी तेरी हक़ीक़त नहीं देखी जाती
लफ़्ज़ उस शोख़ का मुँह देख के रह जाते हैं
लब-ए-इज़हार की हसरत नहीं देखी जाती
दुश्मन-ए-जाँ ही सही साथ तो इक उम्र का है
दिल से अब दर्द की रुख़्सत नहीं देखी जाती
देखा जाता है यहाँ हौसला-ए-क़ता-ए-सफ़र
नफ़स-ए-चंद की मोहलत नहीं देखी जाती
देखिए जब भी मिज़ा पर है इक आँसू 'अख़्तर'
दीदा-ए-तर की रिफ़ाक़त नहीं देखी जाती
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Saeed Khan
our suggestion based on Akhtar Saeed Khan
As you were reading Justaju Shayari Shayari