aaj bhi dast-e-bala mein nahar par pahra raha | आज भी दश्त-ए-बला में नहर पर पहरा रहा

  - Akhtar Saeed Khan

aaj bhi dast-e-bala mein nahar par pahra raha
kitni sadiyon baad main aaya magar pyaasa raha

kya faza-e-subh-e-khandaan kya savaad-e-shaam-e-gham
jis taraf dekha kiya main der tak hansta raha

ik sulagta aashiyaan aur bijliyon ki anjuman
poochta kis se ki mere ghar mein kya tha kya raha

zindagi kya ek sannaata tha pichhli raat ka
shamaein gul hoti raheen dil se dhuaan uthata raha

qafile phoolon ke guzre is taraf se bhi magar
dil ka ik gosha jo soona tha bahut soona raha

teri in hansati hui aankhon se nisbat thi jise
meri palkon par vo aansu umr bhar thehra raha

ab lahu ban kar meri aankhon se bah jaane ko hai
haan wahi dil jo hareef-e-joshish-e-dariya raha

kis ko furqat thi ki akhtar dekhta meri taraf
main jahaan jis bazm mein jab tak raha tanhaa raha

आज भी दश्त-ए-बला में नहर पर पहरा रहा
कितनी सदियों बाद मैं आया मगर प्यासा रहा

क्या फ़ज़ा-ए-सुब्ह-ए-ख़ंदाँ क्या सवाद-ए-शाम-ए-ग़म
जिस तरफ़ देखा किया मैं देर तक हँसता रहा

इक सुलगता आशियाँ और बिजलियों की अंजुमन
पूछता किस से कि मेरे घर में क्या था क्या रहा

ज़िंदगी क्या एक सन्नाटा था पिछली रात का
शमएँ गुल होती रहीं दिल से धुआँ उठता रहा

क़ाफ़िले फूलों के गुज़रे इस तरफ़ से भी मगर
दिल का इक गोशा जो सूना था बहुत सूना रहा

तेरी इन हँसती हुई आँखों से निस्बत थी जिसे
मेरी पलकों पर वो आँसू उम्र भर ठहरा रहा

अब लहू बन कर मिरी आँखों से बह जाने को है
हाँ वही दिल जो हरीफ़-ए-जोशिश-ए-दरिया रहा

किस को फ़ुर्सत थी कि 'अख़्तर' देखता मेरी तरफ़
मैं जहाँ जिस बज़्म में जब तक रहा तन्हा रहा

  - Akhtar Saeed Khan

Andhera Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Saeed Khan

As you were reading Shayari by Akhtar Saeed Khan

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Saeed Khan

Similar Moods

As you were reading Andhera Shayari Shayari