deedaani hai zakhm-e-dil aur aap se parda bhi kya | दीदनी है ज़ख़्म-ए-दिल और आप से पर्दा भी क्या

  - Akhtar Saeed Khan

deedaani hai zakhm-e-dil aur aap se parda bhi kya
ik zara nazdeek aa kar dekhiye aisa bhi kya

ham bhi na-waaqif nahin aadaab-e-mahfil se magar
cheekh uthe khaamoshiyaan tak aisa sannaata bhi kya

khud humeen jab dasht-e-qaatil ko dua dete rahe
phir koi apni sitamgaari pe sharmaata bhi kya

jitne aaine the sab toote hue the saamne
sheeshaagar baaton se apni ham ko behlaata bhi kya

ham ne saari zindagi ik aarzoo mein kaat di
farz kijeye kuchh nahin khoya magar paaya bhi kya

be-mahaba tujh se akshar saamna hota raha
zindagi tu ne mujhe dekha na ho aisa bhi kya

be-talab ik justuju si be-sabab ik intizaar
umr-e-be-paayaan ka itna mukhtasar qissa bhi kya

gair se bhi jab mila akhtar to hans kar hi mila
aadmi achha ho lekin is qadar achha bhi kya

दीदनी है ज़ख़्म-ए-दिल और आप से पर्दा भी क्या
इक ज़रा नज़दीक आ कर देखिए ऐसा भी क्या

हम भी ना-वाक़िफ़ नहीं आदाब-ए-महफ़िल से मगर
चीख़ उठें ख़ामोशियाँ तक ऐसा सन्नाटा भी क्या

ख़ुद हमीं जब दस्त-ए-क़ातिल को दुआ देते रहे
फिर कोई अपनी सितमगारी पे शरमाता भी क्या

जितने आईने थे सब टूटे हुए थे सामने
शीशागर बातों से अपनी हम को बहलाता भी क्या

हम ने सारी ज़िंदगी इक आरज़ू में काट दी
फ़र्ज़ कीजे कुछ नहीं खोया मगर पाया भी क्या

बे-महाबा तुझ से अक्सर सामना होता रहा
ज़िंदगी तू ने मुझे देखा न हो ऐसा भी क्या

बे-तलब इक जुस्तुजू सी बे-सबब इक इंतिज़ार
उम्र-ए-बे-पायाँ का इतना मुख़्तसर क़िस्सा भी क्या

ग़ैर से भी जब मिला 'अख़्तर' तो हँस कर ही मिला
आदमी अच्छा हो लेकिन इस क़दर अच्छा भी क्या

  - Akhtar Saeed Khan

Life Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Saeed Khan

As you were reading Shayari by Akhtar Saeed Khan

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Saeed Khan

Similar Moods

As you were reading Life Shayari Shayari