mauj-e-shameem hain na khiraam-e-saba hain ham | मौज-ए-शमीम हैं न ख़िराम-ए-सबा हैं हम

  - Akhtar Saeed Khan

mauj-e-shameem hain na khiraam-e-saba hain ham
thehri hui gulon ke labon par dua hain ham

begaana khalk se hain na tujh se khafa hain ham
ai zindagi mua'af ki dair-aashna hain ham

is raaz ko bhi faash kar ai chashm-e-dil-navaaz
kaanta khatk raha hai ye dil mein ki kya hain ham

yaarab tira kamaal-e-hunar ham pe khatm hai
ya sirf mashq-e-naaz ka ik tajurba hain ham

aakhir tire sulook ne jhutla diya ise
ik zo'm tha humeen ki saraapa wafa hain ham

kal is zameen pe utarenge phoolon ke qafile
ik paikar-e-bahaar ki aawaaz-e-paa hain ham

मौज-ए-शमीम हैं न ख़िराम-ए-सबा हैं हम
ठहरी हुई गुलों के लबों पर दुआ हैं हम

बेगाना ख़ल्क़ से हैं न तुझ से ख़फ़ा हैं हम
ऐ ज़िंदगी मुआ'फ़ कि दैर-आश्ना हैं हम

इस राज़ को भी फ़ाश कर ऐ चश्म-ए-दिल-नवाज़
काँटा खटक रहा है ये दिल में कि क्या हैं हम

यारब तिरा कमाल-ए-हुनर हम पे ख़त्म है
या सिर्फ़ मश्क़-ए-नाज़ का इक तजरबा हैं हम

आख़िर तिरे सुलूक ने झुटला दिया इसे
इक ज़ो'म था हमीं कि सरापा वफ़ा हैं हम

कल इस ज़मीं पे उतरेंगे फूलों के क़ाफ़िले
इक पैकर-ए-बहार की आवाज़-ए-पा हैं हम

  - Akhtar Saeed Khan

Gussa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Saeed Khan

As you were reading Shayari by Akhtar Saeed Khan

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Saeed Khan

Similar Moods

As you were reading Gussa Shayari Shayari