yaad aayein jo ayyaam-e-bahaaraan to kidhar jaayen
ye to koi chaara nahin sar phod ke mar jaayen
qadmon ke nishaan hain na koi meel ka patthar
is raah se ab jin ko guzarna hai guzar jaayen
rasmen hi badal di hain zamaane ne dilon ki
kis waz'a se us bazm mein ai deeda-e-tar jaayen
jaan dene ke daave hon ki paimaan-e-wafa ho
jee mein to ye aata hai ki ab ham bhi mukar jaayen
har mauj gale lag ke ye kahti hai thehar jaao
dariya ka ishaara hai ki ham paar utar jaayen
sheeshe se bhi naazuk hain inhen choo ke na dekho
aisa na ho aankhon ke haseen khwaab bikhar jaayen
tareek hue jaate hain badhte hue saaye
akhtar se kaho shaam hui aap bhi ghar jaayen
याद आएँ जो अय्याम-ए-बहाराँ तो किधर जाएँ
ये तो कोई चारा नहीं सर फोड़ के मर जाएँ
क़दमों के निशाँ हैं न कोई मील का पत्थर
इस राह से अब जिन को गुज़रना है गुज़र जाएँ
रस्में ही बदल दी हैं ज़माने ने दिलों की
किस वज़्अ से उस बज़्म में ऐ दीदा-ए-तर जाएँ
जाँ देने के दावे हों कि पैमान-ए-वफ़ा हो
जी में तो ये आता है कि अब हम भी मुकर जाएँ
हर मौज गले लग के ये कहती है ठहर जाओ
दरिया का इशारा है कि हम पार उतर जाएँ
शीशे से भी नाज़ुक हैं इन्हें छू के न देखो
ऐसा न हो आँखों के हसीं ख़्वाब बिखर जाएँ
तारीक हुए जाते हैं बढ़ते हुए साए
'अख़्तर' से कहो शाम हुई आप भी घर जाएँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Saeed Khan
our suggestion based on Akhtar Saeed Khan
As you were reading Mehboob Shayari Shayari