zindagi kya hue vo apne zamaane waale | ज़िंदगी क्या हुए वो अपने ज़माने वाले

  - Akhtar Saeed Khan

zindagi kya hue vo apne zamaane waale
yaad aate hain bahut dil ko dukhaane waale

raaste chup hain naseem-e-sehri bhi chup hai
jaane kis samt gaye thokren khaane waale

ajnabi ban ke na mil umr-e-gurezaan ham se
the kabhi ham bhi tire naaz uthaane waale

aa ki main dekh luun khoya hua chehra apna
mujh se chhup kar meri tasveer banaane waale

ham to ik din na jiye apni khushi se ai dil
aur honge tire ehsaan uthaane waale

dil se uthte hue sholon ko kahaan le jaayen
apne har zakham ko pahluu mein chhupaane waale

nikhat-e-subh-e-chaman bhool na jaana ki tujhe
the humeen neend se har roz jagaane waale

hans ke ab dekhte hain chaak-e-garebaan mera
apne aansu mere daaman mein chhupaane waale

kis se poochoon ye siyah raat kategi kis din
so gaye ja ke kahaan khwaab dikhaane waale

har qadam door hui jaati hai manzil ham se
raah-e-gum-karda hain khud raah dikhaane waale

ab jo rote hain mere haal-e-zaboon par akhtar
kal yahi the mujhe hans hans ke rulaane waale

ज़िंदगी क्या हुए वो अपने ज़माने वाले
याद आते हैं बहुत दिल को दुखाने वाले

रास्ते चुप हैं नसीम-ए-सहरी भी चुप है
जाने किस सम्त गए ठोकरें खाने वाले

अजनबी बन के न मिल उम्र-ए-गुरेज़ाँ हम से
थे कभी हम भी तिरे नाज़ उठाने वाले

आ कि मैं देख लूँ खोया हुआ चेहरा अपना
मुझ से छुप कर मिरी तस्वीर बनाने वाले

हम तो इक दिन न जिए अपनी ख़ुशी से ऐ दिल
और होंगे तिरे एहसान उठाने वाले

दिल से उठते हुए शोलों को कहाँ ले जाएँ
अपने हर ज़ख़्म को पहलू में छुपाने वाले

निकहत-ए-सुब्ह-ए-चमन भूल न जाना कि तुझे
थे हमीं नींद से हर रोज़ जगाने वाले

हँस के अब देखते हैं चाक-ए-गरेबाँ मेरा
अपने आँसू मिरे दामन में छुपाने वाले

किस से पूछूँ ये सियह रात कटेगी किस दिन
सो गए जा के कहाँ ख़्वाब दिखाने वाले

हर क़दम दूर हुई जाती है मंज़िल हम से
राह-ए-गुम-कर्दा हैं ख़ुद राह दिखाने वाले

अब जो रोते हैं मिरे हाल-ए-ज़बूँ पर 'अख़्तर'
कल यही थे मुझे हँस हँस के रुलाने वाले

  - Akhtar Saeed Khan

Ishaara Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Saeed Khan

As you were reading Shayari by Akhtar Saeed Khan

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Saeed Khan

Similar Moods

As you were reading Ishaara Shayari Shayari