nairangi-e-nashaat-e-tamanna ajeeb hai
kuchh shaam se qafas mein ujaala ajeeb hai
sharmaa rahe hain taar-e-garebaan-o-chaak-e-dil
kuchh din se rang-e-laala-e-sehra ajeeb hai
har khwaab-e-etibaar shikaston se choor hai
dil mein magar ghuroor-e-tamanna ajeeb hai
saara badan hai dhoop mein jhulsa hua magar
dil par jo pad raha hai vo saaya ajeeb hai
fenke nahin hain aaj talak reza-ha-e-dil
toote ta'alluqaat ka rishta ajeeb hai
jab tak nazar na kijie yak qatra khun hai dil
lekin jo dekhiye to ye duniya ajeeb hai
akhtar ye tere paanv ke kaante naye nahin
kaanton se khelta hua chaala ajeeb hai
नैरंगी-ए-नशात-ए-तमन्ना अजीब है
कुछ शाम से क़फ़स में उजाला अजीब है
शरमा रहे हैं तार-ए-गरेबान-ओ-चाक-ए-दिल
कुछ दिन से रंग-ए-लाला-ए-सहरा अजीब है
हर ख़्वाब-ए-ए'तिबार शिकस्तों से चूर है
दिल में मगर ग़ुरूर-ए-तमन्ना अजीब है
सारा बदन है धूप में झुलसा हुआ मगर
दिल पर जो पड़ रहा है वो साया अजीब है
फेंके नहीं हैं आज तलक रेज़ा-हा-ए-दिल
टूटे तअ'ल्लुक़ात का रिश्ता अजीब है
जब तक नज़र न कीजिए यक क़तरा ख़ूँ है दिल
लेकिन जो देखिए तो ये दुनिया अजीब है
'अख़्तर' ये तेरे पाँव के काँटे नए नहीं
काँटों से खेलता हुआ छाला अजीब है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Saeed Khan
our suggestion based on Akhtar Saeed Khan
As you were reading Kanta Shayari Shayari